zarra
dasht kī be-pāyāñ vus.at meñ
kohsāroñ ke dāman meñ
zarra
apne hone aur na hone kā dukh jhel rahā thā
zarra jo ḳhud apne vajūd meñ
ek mukammal duniyā hai
jis ke batn meñ
saarā nizām-e-shams-o-qamar poshīda hai
jis kī vahdat ke siine meñ
nazar na aane vaalī kasrat kā jalva hai
ahl-e-nazar ne pichhlī sadī meñ
is pāmāl zamīr ke andar
is be-nām vajūd meñ muzmar
us tāqat kī gavāhī dī hai
jo is ke bedār ḳhamīr meñ
sadiyoñ tak ḳhvābīda rahī hai
ahl-e-hunar ahl-e-hikmat ne
jab is ḳhufta quvvat kā idrāk kiyā
zarre kā dil chaak kiyā
sadiyoñ kī sahmī huī
nā-āsūda mahrūmī ko be-bāk kiyā
isī tavānā.ī kī badaulat
isī haqīr se be-tauqīr se
ḳhākistar zarre ne
ik din
hiroshima ko ḳhaak kiyā
dasht ki be-payan wusat mein
kohsaron ke daman mein
zarra
apne hone aur na hone ka dukh jhel raha tha
zarra jo KHud apne wajud mein
ek mukammal duniya hai
jis ke batn mein
sara nizam-e-shams-o-qamar poshida hai
jis ki wahdat ke sine mein
nazar na aane wali kasrat ka jalwa hai
ahl-e-nazar ne pichhli sadi mein
is pamal zamir ke andar
is be-nam wajud mein muzmar
us taqat ki gawahi di hai
jo is ke bedar KHamir mein
sadiyon tak KHwabida rahi hai
ahl-e-hunar ahl-e-hikmat ne
jab is KHufta quwwat ka idrak kiya
zarre ka dil chaak kiya
sadiyon ki sahmi hui
na-asuda mahrumi ko be-bak kiya
isi tawanai ki badaulat
isi haqir se be-tauqir se
KHakistar zarre ne
ek din
hiroshima ko KHak kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.