zarurat kya hai
is qadar ham se gurezāñ kyuuñ ho
kuchh nahīñ ham haiñ faqat aks-e-ḳhayāl
ek tasvīr kā dhuñdlā sā nishāñ
harf-o-ma.anī ke pur-asrār tasalsul meñ kahīñ
an-kahī baat kā ehsās-e-ziyāñ
ajnabī shahar meñ chalte chalte rāsta haath pakaḌ le to ruko
jis tarah tez havā aa ke darīche pe kabhī
dastakeñ detī hai chup chaap palaT jaatī hai
aur guzargāh-e-samā.at meñ faqat gūñjte haiñ
us ke qadmoñ ke nishāñ
jo yaqīñ haiñ na gumāñ
kisī ik lamha-e-guzrāñ kī haqīqat kyā hai
kār-e-ulfat bhī agar kār-e-aziyyat hai to phir
āḳhir is kār-e-aziyyat kī zarūrat kyā hai
is qadar hum se gurezan kyun ho
kuchh nahin hum hain faqat aks-e-KHayal
ek taswir ka dhundla sa nishan
harf-o-mani ke pur-asrar tasalsul mein kahin
an-kahi baat ka ehsas-e-ziyan
ajnabi shahar mein chalte chalte rasta hath pakaD le to ruko
jis tarah tez hawa aa ke dariche pe kabhi
dastaken deti hai chup chap palaT jati hai
aur guzargah-e-samaat mein faqat gunjte hain
us ke qadmon ke nishan
jo yaqin hain na guman
kisi ek lamha-e-guzran ki haqiqat kya hai
kar-e-ulfat bhi agar kar-e-aziyyat hai to phir
aaKHir is kar-e-aziyyat ki zarurat kya hai
- Book : Asaleeb (Pg. 247)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.