zawal ki aaKHiri chiKH
chhaTī baar jab maiñ ne darvāza kholā
to ik chīḳh mere badan ke masāmoñ se chimTī
badan ke añdheroñ meñ utrī
mirā jism us chīḳh ke tund panjoñ se jhulsī huī
be-karāñ chīḳh thā
maiñ laraztā huā kohna gumbad se niklā
aur chīḳh mere badan se siyāh ghaas kī tarah niklī
badan ke karoḌoñ masāmoñ ke muñh par
siyāh chīḳh kā surḳh jañgal ugā thā
koī chīḳh ab bhī ubhartī thī jis se
gumbad ke dīvār-o-dar kāñpte the
koī shai dikhā.ī nahīñ de rahī thī
faqat ik dhuāñ thā
jo gumbad ke sūrāḳh se apne paañv nikāle
havāoñ ke be-dāġh sīnoñ se chimTā huā thā
sātvīñ baar phir maiñ ne darvāza kholā
to mere lahū kī har ik buuñd meñ
sātvīñ baar phir sarsarātī huī chīḳh guzrī
maiñ ne dekhā ki gumbad meñ mailī zamīñ par
naza.a kī hālat meñ ik laash hai
jis ne ab sātvīñ baar mere badan meñ
sātvīñ chīḳh kā garm laavā utārā
ye zavāl kī āḳhirī sard chīḳhoñ kī ik chīḳh thī
chhaTi bar jab main ne darwaza khola
to ek chiKH mere badan ke masamon se chimTi
badan ke andheron mein utri
mera jism us chiKH ke tund panjon se jhulsi hui
be-karan chiKH tha
main larazta hua kohna gumbad se nikla
aur chiKH mere badan se siyah ghas ki tarah nikli
badan ke karoDon masamon ke munh par
siyah chiKH ka surKH jangal uga tha
koi chiKH ab bhi ubharti thi jis se
gumbad ke diwar-o-dar kanpte the
koi shai dikhai nahin de rahi thi
faqat ek dhuan tha
jo gumbad ke suraKH se apne panw nikale
hawaon ke be-dagh sinon se chimTa hua tha
satwin bar phir main ne darwaza khola
to mere lahu ki har ek bund mein
satwin bar phir sarsaraati hui chiKH guzri
main ne dekha ki gumbad mein maili zamin par
naza ki haalat mein ek lash hai
jis ne ab satwin bar mere badan mein
satwin chiKH ka garm lawa utara
ye zawal ki aaKHiri sard chiKHon ki ek chiKH thi
- Book : Prindey,phool taalab (Pg. 80)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.