zehra ne bahut din se kuchh bhi nahin likkha hai
'zahra' ne bahut din se kuchh bhī nahīñ likkhā hai
hālāñki dar-īñ-asnā kyā kuchh nahīñ dekhā hai
par likkhe to kyā likkhe? aur soche to kyā soche?
kuchh fikr bhī mub.ham hai kuchh haath laraztā hai
'zahra' ne bahut din se kuchh bhī nahīñ likkhā hai!
dīvānī nahīñ itnī jo muñh meñ ho bak jaa.e
chup-shāh kā roza bhī yūñhī nahīñ rakkhā hai
būḌhī bhī nahīñ itnī is tarah vo thak jaa.e
ab jaan ke us ne ye andāz banāyā hai
har chiiz bhulāve ke sandūq meñ rakh dī hai
āsānī se jiine kā achchhā ye tarīqa hai
'zahra' ne bahut din se kuchh bhī nahīñ likkhā hai!
ghar baar, samajhtī thii, qil.a hai hifāzat kā
dekhā ki grihastī bhī miTTī kā khilaunā hai
miTTī ho ki patthar ho hiirā ho ki motī ho
ghar-bār ke mālik kā ghar-bār pe qabza hai
ehsās-e-hukūmat ke iz.hār kā kyā kahnā!
in.aam hai maz.hab kā jo haath meñ koḌā hai
'zehrā' ne bahut din se kuchh bhī nahīñ likkhā hai!
dīvār pe Tāñgā thā farmān rifāqat kā
kyā vaqt ke dariyā ne dīvār ko Dhāyā hai
farmān-e-rifāqat kī taqdīs bas itnī hai
ik jumbish-e-lab par hai, rishta jo azal kā hai
'zahra' ne bahut din se kuchh bhī nahīñ likkhā hai!
do beToñ ko kyā paalā nādāñ ye samajhtī thī
is daulat-e-duniyā kī mālik vahī tanhā hai
par vaqt ne ā.īna kuchh aisā dikhāyā hai
tasvīr kā ye pahlū ab sāmne aayā hai
baḌhte hue bachchoñ par khultī huī duniyā hai
khultī huī duniyā kā har baab tamāsha hai
maañ baap kī sūrat to dekhā huā naqsha hai
dekhe hue naqshe kā har rañg purānā hai
'zehrā' ne bahut din se kuchh bhī nahīñ likkhā hai!
sochā thā bahan bhaa.ī dariyā haiñ mohabbat ke
dekhā ki kabhī dariyā rasta bhī badaltā hai
bhaa.ī bhī giraftār-e-majbūrī-e-ḳhidmat haiñ
bahnoñ pe bhī taarī hai qismat kā jo likkhā hai
ik maañ hai jo peḌoñ se bāteñ kiye jaatī hai
kahne ko haiñ das bachche aur phir bhī vo tanhā hai
'zehrā' ne bahut din se kuchh bhī nahīñ likkhā hai
'zahra' ne bahut din se kuchh bhi nahin likkha hai
haalanki dar-in-asna kya kuchh nahin dekha hai
par likkhe to kya likkhe? aur soche to kya soche?
kuchh fikr bhi mubham hai kuchh hath larazta hai
'zahra' ne bahut din se kuchh bhi nahin likkha hai!
diwani nahin itni jo munh mein ho bak jae
chup-shah ka roza bhi yunhi nahin rakkha hai
buDhi bhi nahin itni is tarah wo thak jae
ab jaan ke us ne ye andaz banaya hai
har chiz bhulawe ke sanduq mein rakh di hai
aasani se jine ka achchha ye tariqa hai
'zahra' ne bahut din se kuchh bhi nahin likkha hai!
ghar bar, samajhti thi, qila hai hifazat ka
dekha ki grihasti bhi miTTi ka khilauna hai
miTTi ho ki patthar ho hira ho ki moti ho
ghar-bar ke malik ka ghar-bar pe qabza hai
ehsas-e-hukumat ke izhaar ka kya kahna!
inam hai mazhab ka jo hath mein koDa hai
'zehra' ne bahut din se kuchh bhi nahin likkha hai!
diwar pe Tanga tha farman rifaqat ka
kya waqt ke dariya ne diwar ko Dhaya hai
farman-e-rifaqat ki taqdis bas itni hai
ek jumbish-e-lab par hai, rishta jo azal ka hai
'zahra' ne bahut din se kuchh bhi nahin likkha hai!
do beTon ko kya pala nadan ye samajhti thi
is daulat-e-duniya ki malik wahi tanha hai
par waqt ne aaina kuchh aisa dikhaya hai
taswir ka ye pahlu ab samne aaya hai
baDhte hue bachchon par khulti hui duniya hai
khulti hui duniya ka har bab tamasha hai
man bap ki surat to dekha hua naqsha hai
dekhe hue naqshe ka har rang purana hai
'zehra' ne bahut din se kuchh bhi nahin likkha hai!
socha tha bahan bhai dariya hain mohabbat ke
dekha ki kabhi dariya rasta bhi badalta hai
bhai bhi giraftar-e-majburi-e-KHidmat hain
bahnon pe bhi tari hai qismat ka jo likkha hai
ek man hai jo peDon se baaten kiye jati hai
kahne ko hain das bachche aur phir bhi wo tanha hai
'zehra' ne bahut din se kuchh bhi nahin likkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.