zid
ajab sī dekho fazā banī hai
adāvatoñ se bharī hai duniyā
hamārī ḳhushiyoñ se ġham ho tum ko
ḳhushī ho ham ko jo ġham ho tum ko
añdhere raste meñ ham jo bhaTkeñ
sajāo mahfil charāġhoñ se tum
hoñ narm kirneñ aziiz tum ko
jo sub.h kī
ham pukāreñ us dam
ujālā din kā jalātā āñkheñ
falak ke tāroñ kā zikr jab ho
to uTh ke dekheñ añdherī rāteñ
ho aabī qatra samundaroñ sā
hamāre man meñ
samundaroñ ko batāo qatra
sahj se phir tum
ye kaisī zid hai
ye dushmanī hai tumhārī kaisī
hamārī kaisī
hamārī duniyā tumhārī manzil
tumhārī duniyā hamārī manzil
na jaane kaise samajh sakeñge
ye baat ham tum
ajab si dekho faza bani hai
adawaton se bhari hai duniya
hamari KHushiyon se gham ho tum ko
KHushi ho hum ko jo gham ho tum ko
andhere raste mein hum jo bhaTken
sajao mahfil charaghon se tum
hon narm kirnen aziz tum ko
jo subh ki
hum pukaren us dam
ujala din ka jalata aankhen
falak ke taron ka zikr jab ho
to uTh ke dekhen andheri raaten
ho aabi qatra samundaron sa
hamare man mein
samundaron ko batao qatra
sahj se phir tum
ye kaisi zid hai
ye dushmani hai tumhaari kaisi
hamari kaisi
hamari duniya tumhaari manzil
tumhaari duniya hamari manzil
na jaane kaise samajh sakenge
ye baat hum tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.