zina zina
january kā sard din thā
yaad hai
ham garm chaa.e kī talab meñ
restaurant kī sīḌhiyāñ jab chaḌh rahe the
tab tumhāre adh-khule juute ke tasme bāñdhne ke vāste
tum ruk ga.iiñ thiiñ
rukī aur jhuk ke tasme bāñdh kar
phir sīḌhiyāñ chaḌhne ko thiiñ
tab ek lamhe ke liye tum ne tavāzun kho diyā thā
aur sañbhalne ke liye kāñdhe pe mere haath rakhā thā
tumheñ ehsās bhī shāyad na ho ab tak
ki tum ko thāmne kī fikr meñ
mere qadam bhī laḌkhaḌā.e the
mere kāñdhe pe rakh kar haath tum ḳhud to sañbhal kar
ziina ziina chaḌh ga.iiñ
lekin
maiñ ab tak bhī sañbhal paayā nahīñ huuñ
palaT kar dekh lo uupar ke ziine se
maiñ ab bhī rā.egāñ koshish meñ huuñ
shāyad sañbhal jā.ūñ
january ka sard din tha
yaad hai
hum garm chae ki talab mein
restaurant ki siDhiyan jab chaDh rahe the
tab tumhaare adh-khule jute ke tasme bandhne ke waste
tum ruk gain thin
ruki aur jhuk ke tasme bandh kar
phir siDhiyan chaDhne ko thin
tab ek lamhe ke liye tum ne tawazun kho diya tha
aur sanbhalne ke liye kandhe pe mere hath rakha tha
tumhein ehsas bhi shayad na ho ab tak
ki tum ko thamne ki fikr mein
mere qadam bhi laDkhaDae the
mere kandhe pe rakh kar hath tum KHud to sanbhal kar
zina zina chaDh gain
lekin
main ab tak bhi sanbhal paya nahin hun
palaT kar dekh lo upar ke zine se
main ab bhi raegan koshish mein hun
shayad sanbhal jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.