zist sarae
kuchh gharoñ ke lavāzimāt muḳhtasar hote haiñ
ek bistar jis ke saath
aap ko niiñd alāhada se ḳharīdnī
na paḌe
ek gul-dān jis meñ itne phuul rakhe jā sakeñ
ki agar aap ko hangāmī hālat meñ phūloñ kī
zarūrat pesh aa jaa.e to aap ko kisī bahār
kā intizār na karnā paḌe
ek chhat vaalā pañkhā jise
aap sone se pahle apnī kahānī sunā sakeñ
ek chūlhā jis par aap
apne safar ke izāfī hissoñ ko jalā sakeñ
ek refrigerator jis meñ aap
sharāb rakh kar bhuul jaane kā ḳhadsha
mol le leñ
ek T v jis par aap ḳhabar-nāme
meñ apne naam kī ḳhabar sunñe
ke intizār meñ zindagī basar kar deñ
kuchh darvāze jin par aap apne
paas jam.a-shuda bahut sī dastakoñ ko ḳharch
kar sakeñ
kuchh khiḌkiyāñ jin meñ se
aap kabhī kabhār chāñd ko dekh sakeñ
yā mānūs samt se aane vaalī ḳhushbū
ko rāsta de sakeñ
ek raushan-dān jahāñ koī bhī parinda
aa kar ghoñsla banā sake aur aap ko batā sake
ki aap kā ghar kitnī tezī se simaTtā
huā aap kī taraf baḌh rahā hai
ek ghaḌī jise dekh kar aap parinde kī
baat par ġhaur kar sakeñ
ek kursī jis par baiTh kar aap
raushan-dān meñ rahte parinde ke saath
guftugū kar sakeñ
ek mez jo aap ke hāthoñ ke
lams ko pahchān sake
ek almārī jis meñ aap apne kapḌoñ
ke saath apne ḳhvāboñ ko bhī hanger
par laTkā sakeñ
kuchh pantings jin ko dekh kar
aap har rang kā bosa apnī mahbūba
ke liye mahfūz kar sakeñ
kafka kī kuchh kitābeñ jinheñ paḌh kar
hamesha aap raushan-dān meñ aane vaale
parinde ke saath gale lag kar ro sakeñ
kuchh note-bōks jin par bahut se mohabbat ke
ḳhutūt likhe ga.e jo kabhī post nahīñ hue
kuchh bulb jin ko raushan karke aap apnī ḳhud-kushī
kā ek achchhā sā note likh sakeñ
aur vo note raushan-dān meñ baiThe parinde
ko dete vaqt aap kah sakeñ ki
ye note kisī qarībī haspatāl ke pate par
post kar do shāyad merī laash
se mere ghar kā naqsha nikāl kar pheñk diyā
jaa.e aur mujhe murda-ḳhāne meñ apnā
bistar muntaḳhab karne meñ koī mushkil pesh na aa.e
kuchh gharon ke lawazimat muKHtasar hote hain
ek bistar jis ke sath
aap ko nind alahada se KHaridni
na paDe
ek gul-dan jis mein itne phul rakhe ja saken
ki agar aap ko hangami haalat mein phulon ki
zarurat pesh aa jae to aap ko kisi bahaar
ka intizar na karna paDe
ek chhat wala pankha jise
aap sone se pahle apni kahani suna saken
ek chulha jis par aap
apne safar ke izafi hisson ko jala saken
ek refrigerator jis mein aap
sharab rakh kar bhul jaane ka KHadsha
mol le len
ek T w jis par aap KHabar-name
mein apne nam ki KHabar sunne
ke intizar mein zindagi basar kar den
kuchh darwaze jin par aap apne
pas jama-shuda bahut si dastakon ko KHarch
kar saken
kuchh khiDkiyan jin mein se
aap kabhi kabhaar chand ko dekh saken
ya manus samt se aane wali KHushbu
ko rasta de saken
ek raushan-dan jahan koi bhi parinda
aa kar ghonsla bana sake aur aap ko bata sake
ki aap ka ghar kitni tezi se simaTta
hua aap ki taraf baDh raha hai
ek ghaDi jise dekh kar aap parinde ki
baat par ghaur kar saken
ek kursi jis par baiTh kar aap
raushan-dan mein rahte parinde ke sath
guftugu kar saken
ek mez jo aap ke hathon ke
lams ko pahchan sake
ek almari jis mein aap apne kapDon
ke sath apne KHwabon ko bhi hanger
par laTka saken
kuchh pantings jin ko dekh kar
aap har rang ka bosa apni mahbuba
ke liye mahfuz kar saken
kafka ki kuchh kitaben jinhen paDh kar
hamesha aap raushan-dan mein aane wale
parinde ke sath gale lag kar ro saken
kuchh note-books jin par bahut se mohabbat ke
KHutut likhe gae jo kabhi post nahin hue
kuchh bulb jin ko raushan karke aap apni KHud-kushi
ka ek achchha sa note likh saken
aur wo note raushan-dan mein baiThe parinde
ko dete waqt aap kah saken ki
ye note kisi qaribi haspatal ke pate par
post kar do shayad meri lash
se mere ghar ka naqsha nikal kar phenk diya
jae aur mujhe murda-KHane mein apna
bistar muntaKHab karne mein koi mushkil pesh na aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.