zikr-e-arzu
phir lahū bahne lagā āñkhoñ se kyā phir chhiḌ gayā
halqa-e-ahbāb meñ zikr-e-visāl-e-'ārzū'
ālam-e-sher-o-suḳhan meñ aaj hāsil hai kise
qudrat-e-taḳhlīq-o-parvāz-e-ḳhayāl-e-'ārzū'
allah-allah kis vufūr-e-shauq se ahl-e-shu.ūr
dekhte haiñ husn-e-ma.anī meñ jamāl-e-'ārzū'
aaj bhī hai shahsavārān-e-adab ke vāste
mash.al-e-rāh-e-suḳhan husn-e-kamāl-e-'ārzū'
'ārzū' zinda nahīñ par zinda-e-jāved hai
gulshan-e-sher-o-taġhazzul meñ nihāl-e-'ārzū'
karvaTeñ badlā karegā āsmāñ lākhoñ baras
jab kahīñ mumkin hai paidā ho misāl-e-ārzū
zeb-e-dīvāñ hī nahīñ har-qāsh-e-dil par naqsh hai
harf-e-qaul-e-'ārzū' lafz-e-maqāl-e-'ārzū'
fikr merī nā-rasā hai ilm merā nā-tamām
mujh se mumkin hī nahīñ sharh-e-kamāl-e-'ārzū'
sohbat-e-hūr-o-malak ai 'ashk' ḳhush aa.e na kyoñ
milte-julte the farishtoñ se ḳhisāl-e-'ārzū'
phir lahu bahne laga aankhon se kya phir chhiD gaya
halqa-e-ahbab mein zikr-e-visal-e-'arzu'
aalam-e-sher-o-suKHan mein aaj hasil hai kise
qudrat-e-taKHliq-o-parwaz-e-KHayal-e-'arzu'
allah-allah kis wufur-e-shauq se ahl-e-shuur
dekhte hain husn-e-mani mein jamal-e-'arzu'
aaj bhi hai shahsawaran-e-adab ke waste
mashal-e-rah-e-suKHan husn-e-kamal-e-'arzu'
'arzu' zinda nahin par zinda-e-jawed hai
gulshan-e-sher-o-taghazzul mein nihaal-e-'arzu'
karwaTen badla karega aasman lakhon baras
jab kahin mumkin hai paida ho misal-e-arzu
zeb-e-diwan hi nahin har-qash-e-dil par naqsh hai
harf-e-qaul-e-'arzu' lafz-e-maqal-e-'arzu'
fikr meri na-rasa hai ilm mera na-tamam
mujh se mumkin hi nahin sharh-e-kamal-e-'arzu'
sohbat-e-hur-o-malak ai 'ashk' KHush aae na kyon
milte-julte the farishton se KHisal-e-'arzu'
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.