zimma-dar ho tum
ik ḳhvāb jo ham ne dekhā thā
ik dil jis meñ tum rahte the
vo ḳhvāb mukammal ho na sakā
vo dil bhī tum ne toḌ diyā
TuuTe dil ne bechain kiyā
aur niiñd se rishta Tuut gayā
jab niiñd se rishta Tuut gayā
to ḳhvāb bhī ham se ruuTh gayā
jab niiñd nahīñ to ḳhvāb nahīñ
ik ḳhvāb gayā ik dil TuuTā
donoñ ke zimme-dār ho tum
ek KHwab jo hum ne dekha tha
ek dil jis mein tum rahte the
wo KHwab mukammal ho na saka
wo dil bhi tum ne toD diya
TuTe dil ne bechain kiya
aur nind se rishta Tut gaya
jab nind se rishta Tut gaya
to KHwab bhi hum se ruTh gaya
jab nind nahin to KHwab nahin
ek KHwab gaya ek dil TuTa
donon ke zimme-dar ho tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.