zimmedari
Interesting Fact
in a state of soliloquy
hisār-e-tashkīk toḌ kar tum
uTho zamīñ se
falak pe pahuñcho
phir is jahāñ par nigāh Daalo
ḳhudā-rā apnā maqām samjho
shu.ūr-e-maḳhsūs
jo vadī.at huā hai tum ko
zarā tum us se jo kaam le lo
to shor-e-shab-ḳhūñ
jo har taraf hai
ye ḳhud-ba-ḳhud hī ḳhamosh hogā
ye al-atash kī sadā
jo har samt uTh rahī hai
tum us pe labbaik kah kar apnī
furāt kā dar ḳhudā-rā kholo!
ḳhizāñ kī mahfil meñ
rañg-o-bū ke muzākre kī
sabīl tum ho
tumhāre shānoñ pe
zimmedārī hai kitnī samjho!
ki munhasir hai
baqā-e-ālam
faqat tumhīñ par
hisar-e-tashkik toD kar tum
uTho zamin se
falak pe pahuncho
phir is jahan par nigah Dalo
KHuda-ra apna maqam samjho
shuur-e-maKHsus
jo wadiat hua hai tum ko
zara tum us se jo kaam le lo
to shor-e-shab-KHun
jo har taraf hai
ye KHud-ba-KHud hi KHamosh hoga
ye al-atash ki sada
jo har samt uTh rahi hai
tum us pe labbaik kah kar apni
furaat ka dar KHuda-ra kholo!
KHizan ki mahfil mein
rang-o-bu ke muzakre ki
sabil tum ho
tumhaare shanon pe
zimmedari hai kitni samjho!
ki munhasir hai
baqa-e-alam
faqat tumhin par
- Book : dhoop ke pudey (Pg. 44)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.