zimmedari
kaash tū aa ke dekh saktā kabhī
aaj kitnī badal ga.ī huuñ maiñ
chaar din kī tirī judā.ī meñ
kis qadar ab sañbhal ga.ī huuñ maiñ
ik zamāna thā jab tirā saaya
mere sar par thā bargadoñ kī tarah
kitnī be-fikr zindagī thī mirī
hosh apnā na thā kisī kā ḳhayāl
apne kamre meñ bas paḌe rahnā
rāt-din sirf shā.irī karnā
vaqt se sonā jāgnā kaisā
vaqt ke pīchhe bhāgnā kaisā
zindagī-bhar jo tū ne samjhāyā
vaqt ne sab sīkhā diyā pal meñ
ab yahāñ kuchh nahīñ hai be-tartīb
saare kamre haiñ ab salīqe se
ek ik chiiz ab hai apnī jagah
saare ghar meñ tujhe milegā shu.ūr
fāltū pañkhe ab nahīñ chalte
bulb ab be-sabab nahīñ jalte
jab nikaltī huuñ maiñ kitchen se kabhī
dhyān se gas band kartī huuñ
ab maiñ jab iron uThātī huuñ
mujh se kapḌe bhī ab nahīñ jalte
sāf-suthrā hai ghar kā har konā
mujh ko sab kī hai is qadar parvāh
sochtī huuñ ki tere jaate hī
kaise sāñche meñ Dhal ga.ī huuñ maiñ
haa.e kaisī badal ga.ī huuñ maiñ
kaash tū aa ke dekh saktā kabhī
kash tu aa ke dekh sakta kabhi
aaj kitni badal gai hun main
chaar din ki teri judai mein
kis qadar ab sanbhal gai hun main
ek zamana tha jab tera saya
mere sar par tha bargadon ki tarah
kitni be-fikr zindagi thi meri
hosh apna na tha kisi ka KHayal
apne kamre mein bas paDe rahna
raat-din sirf shairi karna
waqt se sona jagna kaisa
waqt ke pichhe bhagna kaisa
zindagi-bhar jo tu ne samjhaya
waqt ne sab sikha diya pal mein
ab yahan kuchh nahin hai be-tartib
sare kamre hain ab saliqe se
ek ek chiz ab hai apni jagah
sare ghar mein tujhe milega shuur
faltu pankhe ab nahin chalte
bulb ab be-sabab nahin jalte
jab nikalti hun main kitchen se kabhi
dhyan se gas band karti hun
ab main jab iron uThati hun
mujh se kapDe bhi ab nahin jalte
saf-suthra hai ghar ka har kona
mujh ko sab ki hai is qadar parwah
sochti hun ki tere jate hi
kaise sanche mein Dhal gai hun main
hae kaisi badal gai hun main
kash tu aa ke dekh sakta kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.