maañ beTe ke darmiyān ek manzūm mukālima
beTā
bas bahut paḌh liyā kuchh bhuul nahīñ jā.ūñgā
maañ maiñ bas aaj se schōl nahīñ jā.uñgā
maañ
mere beTe mire ma.asūm se pyāre bachche
roz ik taaza bahāna nahīñ karte aise
achchhā mujh ko ye batāo hai pareshānī kyā
tum ko achchhī nahīñ lagtī koī ustānī kyā
kaun sī baat se jhunjhlā.e hue rahte ho
yuuñ jo schōl se uktā.e hue rahte ho
beTā
yuuñ to bachchoñ se hai schōl kā har class bharā
lekin in meñ na koī dost mirā yaar mirā
ek bhī merī tavajjoh nahīñ hāsil kartā
apnī bātoñ meñ koī bhī nahīñ shāmil kartā
maiñ ne dekhā hai chale jaate haiñ sab dekhte hī
merī maujūdgī jaise ki musībat hai koī
saare teachers bhī rahte haiñ ba-har-hāl ḳhafā
maiñ kisī vaqt unheñ ḳhush hī nahīñ kar paatā
ik na ik baat pe karte haiñ vo har roz jirah
vahāñ koī bhī nahīñ terī tarah merī tarah
maañ
mere beTe tumheñ schōl to jaanā hogā
jo ḳhafā haiñ unheñ har roz manānā hogā
beTā
maañ bhalā kyoñ maiñ ye rozāna kī takrār sahūñ
kyoñ bhalā rūThe hue logoñ ke hamrāh rahūñ
maañ
sab ko ḳhush rakhnā kisī ke liye āsān nahīñ
maiñ samajhtī huuñ ki is kā koī imkān nahīñ
lekin schōl to pābandī se jaao beTe
zimmedārī jo milī us ko nibhāo beTe
kyūñ-ki ta.alīm tumhāre liye hai kuchh aur hai ab
mere har roz jagāne kā hai kuchh aur sabab
ik taraf apnā ye uljhā dil-e-nāshād rakho
tum principal ho ye ik baat sadā yaad rakho
man beTe ke darmiyan ek manzum mukalima
beTa
bas bahut paDh liya kuchh bhul nahin jaunga
man main bas aaj se school nahin jaunga
man
mere beTe mere masum se pyare bachche
roz ek taza bahana nahin karte aise
achchha mujh ko ye batao hai pareshani kya
tum ko achchhi nahin lagti koi ustani kya
kaun si baat se jhunjhlae hue rahte ho
yun jo school se uktae hue rahte ho
beTa
yun to bachchon se hai school ka har class bhara
lekin in mein na koi dost mera yar mera
ek bhi meri tawajjoh nahin hasil karta
apni baaton mein koi bhi nahin shamil karta
main ne dekha hai chale jate hain sab dekhte hi
meri maujudgi jaise ki musibat hai koi
sare teachers bhi rahte hain ba-har-haal KHafa
main kisi waqt unhen KHush hi nahin kar pata
ek na ek baat pe karte hain wo har roz jirah
wahan koi bhi nahin teri tarah meri tarah
man
mere beTe tumhein school to jaana hoga
jo KHafa hain unhen har roz manana hoga
beTa
man bhala kyon main ye rozana ki takrar sahun
kyon bhala ruThe hue logon ke hamrah rahun
man
sab ko KHush rakhna kisi ke liye aasan nahin
main samajhti hun ki is ka koi imkan nahin
lekin school to pabandi se jao beTe
zimmedari jo mili us ko nibhao beTe
kyun-ki talim tumhaare liye hai kuchh aur hai ab
mere har roz jagane ka hai kuchh aur sabab
ek taraf apna ye uljha dil-e-nashad rakho
tum principal ho ye ek baat sada yaad rakho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.