phir sadā tang-o-tārīk ġhāroñ se ubhrī
tā-ba-hadd-e-nazar
nīlgūñ āsmānoñ se uljhī
phir sadāoñ ke be-nūr se shāmiyāne
muqayyad fazāoñ kā hissa bane
aur bagūloñ meñ uljhā huā
ik musāfir girā
zardiyoñ ne sadāoñ kā pīchhā kiyā
phir sadāoñ ke andhe kueñ se
zabānoñ ke pur-shor rahToñ kī ik ik kaḌī sāmne aa ga.ī
tab kisī ne kahā
maiñ sadā ke safar meñ
munāfe.a kā manshūr le kar
tijārat kī manDī meñ utrā
kisī kī sadā thī
mujhe nek-o-bad se ta.alluq nahīñ
ab mirī jeb meñ to
chamakte damakte ḳhudāoñ kā Derā
kisī ne kahā
hai bhayānak safar maut sā
sansanātī huī ḳhāmushī zād-e-rāh
ġham-zada udhar mire ham-safar
maiñ ḳhudā kī bhalā.ī ko niklā huuñ
lekin
mire haath meñ zindagī kī simaTtī lakīreñ
siyāhī meñ lipTā huā
ḳhūn-āshām ḳhvāhish kā sang-e-girāñ
rāste vahshateñ
zard vīrān chehre
phirtī huī sard āñkheñ
jo pal pal ubhartī
tamannāoñ kā jism nocheñ
to
ik shor-e-be-rabt ubhre
sadā-e-be-navā aaj kā īliyā
ai ḳhudā ai ḳhudā
mujh ko ārām de
zindagī kī sulagtī sadāoñ se mujh ko bachā
phir sada tang-o-tarik ghaaron se ubhri
ta-ba-hadd-e-nazar
nilgun aasmanon se uljhi
phir sadaon ke be-nur se shamiyane
muqayyad fazaon ka hissa bane
aur bagulon mein uljha hua
ek musafir gira
zardiyon ne sadaon ka pichha kiya
phir sadaon ke andhe kuen se
zabanon ke pur-shor rahTon ki ek ek kaDi samne aa gai
tab kisi ne kaha
main sada ke safar mein
munafea ka manshur le kar
tijarat ki manDi mein utra
kisi ki sada thi
mujhe nek-o-bad se talluq nahin
ab meri jeb mein to
chamakte damakte KHudaon ka Dera
kisi ne kaha
hai bhayanak safar maut sa
sansanati hui KHamushi zad-e-rah
gham-zada udhar mere ham-safar
main KHuda ki bhalai ko nikla hun
lekin
mere hath mein zindagi ki simaTti lakiren
siyahi mein lipTa hua
KHun-asham KHwahish ka sang-e-giran
raste wahshaten
zard viran chehre
phirti hui sard aankhen
jo pal pal ubharti
tamannaon ka jism nochen
to
ek shor-e-be-rabt ubhre
sada-e-be-nawa aaj ka iliya
ai KHuda ai KHuda
mujh ko aaram de
zindagi ki sulagti sadaon se mujh ko bacha
- Book : siip (Magzin) (Pg. 177)
- Author : Nasiim Durraani
- Publication : Fikr-e-Nau ( 39 (Quarterly) )
- Edition : 39 (Quarterly)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.