zindabaad ai watan
zindābād ai vatan zindābād ai vatan
tujh se ābād hai zindagī kā chaman
tere uttar himāla tirā pāsbāñ
tere dakhkhin meñ hai hind-sāgar ravāñ
tere pūrab meñ hai desh bañgla javāñ
tere pachchhim buhaira-arab nigahbāñ
terī dhartī pe bahtī rahī gang-o-jaman
zindābād ai vatan zindābād ai vatan
tere sāñche meñ gautam sā insāñ Dhalā
terī dhartī pe nānak bhī paidā huā
terī āġhosh meñ murlī vaalā palā
tere gulshan meñ islām phūlā-phalā
tere pahlū meñ sab hī rahe haiñ magan
zindābād ai vatan zindābād ai vatan
tujh pe bahutoñ ne aa kar hukūmat bhī kī
saikḌoñ ne bilā-vaj.h nafrat bhī kī
kuchh to vo the jinhoñ ne sharārat bhī kī
haiñ karoḌoñ jinhoñ ne mohabbat bhī kī
tujh pe qurbān kyūñkar na ho jān-o-tan
zindābād ai vatan zindābād ai vatan
tū bhagat singh kī āñkhoñ kā taarā banā
Tiipū sultān kā tū dulārā banā
bose kā har qadam par sahārā banā
tū mohammad alī kā bhī pyārā banā
jaan dī par kisī ne na toḌā vachan
zindābād ai vatan zindābād ai vatan
god lenā sadā terī riitī rahī
panj-shīl aaj tak terī niitī rahī
tujh se sachchā.ī duniyā meñ jiitī rahī
tujh se nāgin sadā duudh piitī rahī
tujh se sīkhā ahinsā kā sab ne chalan
zindābād ai vatan zindābād ai vatan
tujh pe gāñdhī javāhar ne rakkhī nazar
terī 'hasrat' 'tilak' ne sadā lī ḳhabar
jaan de ke hue tujh pe lākhoñ amar
indarā ne sañvārā thā tujh ko magar
sab ne mil kar banāyā hai tujh ko dulhan
zindābād ai vatan zindābād ai vatan
zindabaad ai watan zindabaad ai watan
tujh se aabaad hai zindagi ka chaman
tere uttar himala tera pasban
tere dakhkhin mein hai hind-sagar rawan
tere purab mein hai desh bangla jawan
tere pachchhim buhaira-arab nigahban
teri dharti pe bahti rahi gang-o-jaman
zindabaad ai watan zindabaad ai watan
tere sanche mein gautam sa insan Dhala
teri dharti pe nanak bhi paida hua
teri aaghosh mein murli wala pala
tere gulshan mein islam phula-phala
tere pahlu mein sab hi rahe hain magan
zindabaad ai watan zindabaad ai watan
tujh pe bahuton ne aa kar hukumat bhi ki
saikDon ne bila-wajh nafrat bhi ki
kuchh to wo the jinhon ne shararat bhi ki
hain karoDon jinhon ne mohabbat bhi ki
tujh pe qurban kyunkar na ho jaan-o-tan
zindabaad ai watan zindabaad ai watan
tu bhagat singh ki aankhon ka tara bana
Tipu sultan ka tu dulara bana
bose ka har qadam par sahaara bana
tu mohammad ali ka bhi pyara bana
jaan di par kisi ne na toDa wachan
zindabaad ai watan zindabaad ai watan
god lena sada teri riti rahi
panj-shil aaj tak teri niti rahi
tujh se sachchai duniya mein jiti rahi
tujh se nagin sada dudh piti rahi
tujh se sikha ahinsa ka sab ne chalan
zindabaad ai watan zindabaad ai watan
tujh pe gandhi jawahar ne rakkhi nazar
teri 'hasrat' 'tilak' ne sada li KHabar
jaan de ke hue tujh pe lakhon amar
indara ne sanwara tha tujh ko magar
sab ne mil kar banaya hai tujh ko dulhan
zindabaad ai watan zindabaad ai watan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.