zindan-nama
aaj tārīki-e-shab had sivā lagtī hai
jaane kyā baat huī hai ki ghuTan hotī hai
go ki ik umr guzārī hai isī zindāñ meñ
nīm-tārīk se is gosha-e-vīrāñ se mirī
aisā lagtā hai ki derīna shanāsā.ī hai
us kī dīvāroñ pe likkhe haiñ ka.ī afsāne
jin meñ dil-gīr tamannāoñ kī gahrā.ī hai
us kī be-jān zamīñ ne mirī āñkhoñ meñ bahut
ḳhushk siine ke liye āb-e-baqā paayā hai
us kī maḳhdūsh shikasta sī chhatoñ ne aksar
shab Dhale nāla-e-dil-gīr ko dohrāyā hai
usī zindān ke rauzan ne sahar ke qisse
mehrbāñ ho ke mire haal pe dohrā.e haiñ
ab ye aalam hai ki gardan kā hai hamrāz ye tauq
beḌiyāñ haiñ mire pairoñ kī sahelī ab to
ab to zanjīr kī jhankār meñ lutf aatā hai
ab ye parvāna rihā.ī kā jalā do to sahī
usī zindāñ ko mirī qabr banā do to sahī
taaq kī sham-e-ta.alluq bhī bujhāo to sahī
us se kah do ki rihā.ī nahīñ hone vaalī
mujh meñ zindāñ meñ judā.ī nahīñ hone vaalī
lazzat-e-vasl use ab nahīñ milne vaalī
dil ga.ī raat sahar ab nahīñ hone vaalī
aaj tariki-e-shab had siwa lagti hai
jaane kya baat hui hai ki ghuTan hoti hai
go ki ek umr guzari hai isi zindan mein
nim-tarik se is gosha-e-viran se meri
aisa lagta hai ki derina shanasai hai
us ki diwaron pe likkhe hain kai afsane
jin mein dil-gir tamannaon ki gahrai hai
us ki be-jaan zamin ne meri aankhon mein bahut
KHushk sine ke liye aab-e-baqa paya hai
us ki maKHdush shikasta si chhaton ne aksar
shab Dhale nala-e-dil-gir ko dohraya hai
usi zindan ke rauzan ne sahar ke qisse
mehrban ho ke mere haal pe dohrae hain
ab ye aalam hai ki gardan ka hai hamraaz ye tauq
beDiyan hain mere pairon ki saheli ab to
ab to zanjir ki jhankar mein lutf aata hai
ab ye parwana rihai ka jala do to sahi
usi zindan ko meri qabr bana do to sahi
taq ki sham-e-talluq bhi bujhao to sahi
us se kah do ki rihai nahin hone wali
mujh mein zindan mein judai nahin hone wali
lazzat-e-wasl use ab nahin milne wali
dil gai raat sahar ab nahin hone wali
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.