zindagani shikaston ka ambar hai
kyā huiiñ vahshatoñ kī javāñ vādiyāñ
maiñ kahāñ thā tamannāoñ ke pāsbāñ
ai dil-e-ġham-zada maiñ kahāñ aa gayā
maiñ ne chāhā thā lekin na chāhā thā yuuñ
inqalāb itnā afsurda itnā hazīñ
haa.e ai merī hasrat-zada justujū
kyoñ tirī kāvishoñ ko zavāl aa gayā
mere qadmoñ se mānūs rāh-e-junūñ
ai fazā kī tamanna-shikan ḳhāmushī
kis tarah muḌ ga.ī kis jagah kho ga.ī
kyā hue aaj afkār ke kārvāñ
jin ke saa.e nigāhoñ se mānūs the
zulmatoñ ke dayāroñ ko kyā ho gayā
jin se thiiñ āshnā merī tanhā.iyāñ
dil kahāñ ārzūoñ kā madfan liye
koī jaa.e bhī āḳhir to jaa.e kahāñ
merā josh-e-safar merī be-bākiyāñ
vo bayābāñ-navardī kī āzādiyāñ
vo taḳhayyul kī ik kā.enāt-e-hasīñ
vo tasavvur kā aalam vo sargoshiyāñ
lamha lamha vo ghaTte hue fāsle
merī raftār par naqsh-e-hairat bane
manziloñ ke fasurda-nazar silsile
aaj kyoñ mere maazī kī taqdīr haiñ
aaj maiñ huuñ jahāñ hai aur afsurdagī
bazm-e-hastī ki nālā-kunāñ mahfileñ
yaas kī vādiyāñ dard kī majliseñ
har qadam par irāda-shikan hādse
har nazar meñ alam-posh ḳhāmoshiyāñ
aise ġhamnāk aalam meñ ghabrā ke phir
kyā ta.ajjub agar aaj dil maan le
zindagānī shikastoñ kā ambār hai
kya huin wahshaton ki jawan wadiyan
main kahan tha tamannaon ke pasban
ai dil-e-gham-zada main kahan aa gaya
main ne chaha tha lekin na chaha tha yun
inqalab itna afsurda itna hazin
hae ai meri hasrat-zada justuju
kyon teri kawishon ko zawal aa gaya
mere qadmon se manus rah-e-junun
ai faza ki tamanna-shikan KHamushi
kis tarah muD gai kis jagah kho gai
kya hue aaj afkar ke karwan
jin ke sae nigahon se manus the
zulmaton ke dayaron ko kya ho gaya
jin se thin aashna meri tanhaiyan
dil kahan aarzuon ka madfan liye
koi jae bhi aaKHir to jae kahan
mera josh-e-safar meri be-bakiyan
wo bayaban-nawardi ki aazadiyan
wo taKHayyul ki ek kaenat-e-hasin
wo tasawwur ka aalam wo sargoshiyan
lamha lamha wo ghaTte hue fasle
meri raftar par naqsh-e-hairat bane
manzilon ke fasurda-nazar silsile
aaj kyon mere mazi ki taqdir hain
aaj main hun jahan hai aur afsurdagi
bazm-e-hasti ki nala-kunan mahfilen
yas ki wadiyan dard ki majlisen
har qadam par irada-shikan hadse
har nazar mein alam-posh KHamoshiyan
aise ghamnak aalam mein ghabra ke phir
kya tajjub agar aaj dil man le
zindagani shikaston ka ambar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.