zindagi
ā.īye ham aap ko batlā.eñ kyā hai zindagī
mauj-e-ġham hai ek tūfān-e-balā hai zindagī
in amīroñ ke mohalloñ ko zarā sā chhoḌ kar
paas kī kachchī sī bastī meñ kabhī chaliye huzūr
kis tarah mahñgā.ī piitī hai javānī kā lahū
muflisī ma.asūm bachpan se churā letī hai nuur
noch kar āñkhoñ se mīThe ḳhvāb aur dil se umang
khīñch letī hai shabāb-e-husn kā saarā surūr
phuul se chehre ye murjhāte haiñ kyūñkar dekhiye
shīsha-e-dil muflisī kartī hai kaise chūr-chūr
ā.īye ham aap ko batlā.eñ kyā hai zindagī
ek beva kī javānī kā ye manzar dekhiye
bul-havas nazroñ se bachtī kāñptī jaatī hai vo
das gharoñ meñ jā ke bartan māñjhtī hai tab kahīñ
chaar luqme apne bachchoñ ke liye laatī hai vo
haiñ agar insāniyat se āshnā qalb-o-jigar
ek muflis baap kī lāchāriyoñ par ho nazar
saḳht garmī meñ bhī rickshaw khīñchtā jaatā hai vo
āñsūoñ se bāġh-e-dil bhī sīñchtā jaatā hai vo
bin-biyāhī beTiyoñ kā ġham piye jaatā hai vo
bas umīdoñ ke sahāre par jiye jaatā hai vo
ā.īye ham aap ko batlā.eñ kyā hai zindagī
mauj-e-ġham hai ek tūfān-e-balā hai zindagī
ek din bas ek din kamre kā a c chhoḌ kar
jeTh kī garmī meñ saḌkoñ par nikal kar dekhiye
puus kī in kaḌkaḌātī sardiyoñ meñ ek raat
āsmāñ kī chhat ke nīche shab-guzārī kījiye
zindagī hai kis qadar mushkil pata chal jā.egā
be-hisī kā āñkhoñ se chashma haTā kar dekhiye
aaiye hum aap ko batlaen kya hai zindagi
mauj-e-gham hai ek tufan-e-bala hai zindagi
in amiron ke mohallon ko zara sa chhoD kar
pas ki kachchi si basti mein kabhi chaliye huzur
kis tarah mahngai piti hai jawani ka lahu
muflisi masum bachpan se chura leti hai nur
noch kar aankhon se miThe KHwab aur dil se umang
khinch leti hai shabab-e-husn ka sara surur
phul se chehre ye murjhate hain kyunkar dekhiye
shisha-e-dil muflisi karti hai kaise chur-chur
aaiye hum aap ko batlaen kya hai zindagi
ek bewa ki jawani ka ye manzar dekhiye
bul-hawas nazron se bachti kanpti jati hai wo
das gharon mein ja ke bartan manjhti hai tab kahin
chaar luqme apne bachchon ke liye lati hai wo
hain agar insaniyat se aashna qalb-o-jigar
ek muflis bap ki lachaariyon par ho nazar
saKHt garmi mein bhi rickshaw khinchta jata hai wo
aansuon se bagh-e-dil bhi sinchta jata hai wo
bin-biyahi beTiyon ka gham piye jata hai wo
bas umidon ke sahaare par jiye jata hai wo
aaiye hum aap ko batlaen kya hai zindagi
mauj-e-gham hai ek tufan-e-bala hai zindagi
ek din bas ek din kamre ka a c chhoD kar
jeTh ki garmi mein saDkon par nikal kar dekhiye
pus ki in kaDkaDati sardiyon mein ek raat
aasman ki chhat ke niche shab-guzari kijiye
zindagi hai kis qadar mushkil pata chal jaega
be-hisi ka aankhon se chashma haTa kar dekhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.