zindagi
ai zindagī
tujhe yuuñ guzarte dekhā
kabhī girte
to kabhī sambhalte dekhā
jab dil chāhā
tujhe bhar leñ in bāñhoñ meñ
haath se ret sā
phisalte dekhā
rakhā jo aa.ina
terī nigāhoñ par
tujh meñ ḳhud ko
sañvarte dekhā
khulī jo aañkh
TuuTā vo ḳhvāb
ḳhud meñ tujh ko
bikharte dekhā
kuchh jaagī kuchh soī
yuuñ ḳhud meñ hī khoī
kabhī jalī kabhī bujhī
saat rañgoñ se sajī
vaqt kī palkoñ par
yuuñ nikharte dekhā
ai zindagi
tujhe yun guzarte dekha
kabhi girte
to kabhi sambhalte dekha
jab dil chaha
tujhe bhar len in banhon mein
hath se ret sa
phisalte dekha
rakha jo aaina
teri nigahon par
tujh mein KHud ko
sanwarte dekha
khuli jo aankh
TuTa wo KHwab
KHud mein tujh ko
bikharte dekha
kuchh jagi kuchh soi
yun KHud mein hi khoi
kabhi jali kabhi bujhi
sat rangon se saji
waqt ki palkon par
yun nikharte dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.