zindagi aur maut
maut hai ziist kī ham-safar
ek hī vaqt par
jiine ke saath martā chalā jā rahā hai bashar
maut aur ziist ik dūsre se kahāñ duur haiñ
har ghaḌī jaan kā kuchh na kuchh juzv martā chalā jaa.e hai
ham jo har aan marte chale jā rahe haiñ bil-aqsāt ik roz mar jā.eñge
zarra-zarra bikhar jā.eñge
janm-din hī to marne kā āġhāz hai
janm din hī maran din bhī hai is liye
maut bāhar nahīñ balki andar hai hastī meñ tahlīl hai
ziist marg-e-musalsal kī tashkīl hai
maut hai zist ki ham-safar
ek hi waqt par
jine ke sath marta chala ja raha hai bashar
maut aur zist ek dusre se kahan dur hain
har ghaDi jaan ka kuchh na kuchh juzw marta chala jae hai
hum jo har aan marte chale ja rahe hain bil-aqsat ek roz mar jaenge
zarra-zarra bikhar jaenge
janm-din hi to marne ka aaghaz hai
janm din hi maran din bhi hai is liye
maut bahar nahin balki andar hai hasti mein tahlil hai
zist marg-e-musalsal ki tashkil hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.