zindagi ek raat ki
har patange ko pata hai zindagī ik raat kī
sham.a kā ye husn aur ye raushnī ik raat kī
zindagī ik raat kī hai raushnī ik raat kī
rāt-bhar kā khel hai ye rāt-bhar kā pyaar hai
bujh ga.ī jab raushnī phir kaun kis kā yaar hai
ye mohabbat ye milan ye dostī ik raat kī
zindagī ik raat kī hai raushnī ik raat kī
ham to parvāne haiñ tere gird nāche jā.eñge
ruup dekheñge jahāñ qurbān hote jā.eñge
aaj mahfil meñ khilī hai chāñdnī ik raat kī
zindagī ik raat kī hai raushnī ik raat kī
chal rahā hai kab se husn-o-ishq kā ye silsila
ye taḌap ye aarzū ye hasratoñ kā qāfila
kāmyābī ek shab kī be-kasī ik raat kī
zindagī ik raat kī hai raushnī ik raat kī
dard hai in.aam is ulfat kā ye ma.alūm hai
maut hai anjām is chāhat kā ye ma.alūm hai
'panchhī' ye mastī ye dhaḌkan ye ḳhushī ik raat kī
zindagī ik raat kī hai raushnī ik raat kī
har patange ko pata hai zindagī ik raat kī
zindagī ik raat kī hai raushnī ik raat kī
har patange ko pata hai zindagi ek raat ki
shama ka ye husn aur ye raushni ek raat ki
zindagi ek raat ki hai raushni ek raat ki
raat-bhar ka khel hai ye raat-bhar ka pyar hai
bujh gai jab raushni phir kaun kis ka yar hai
ye mohabbat ye milan ye dosti ek raat ki
zindagi ek raat ki hai raushni ek raat ki
hum to parwane hain tere gird nache jaenge
rup dekhenge jahan qurban hote jaenge
aaj mahfil mein khili hai chandni ek raat ki
zindagi ek raat ki hai raushni ek raat ki
chal raha hai kab se husn-o-ishq ka ye silsila
ye taDap ye aarzu ye hasraton ka qafila
kaamyabi ek shab ki be-kasi ek raat ki
zindagi ek raat ki hai raushni ek raat ki
dard hai inam is ulfat ka ye malum hai
maut hai anjam is chahat ka ye malum hai
'panchhi' ye masti ye dhaDkan ye KHushi ek raat ki
zindagi ek raat ki hai raushni ek raat ki
har patange ko pata hai zindagi ek raat ki
zindagi ek raat ki hai raushni ek raat ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.