zindagi ka safar
safar hai zindagī kā aur
badalte mausamoñ kā
kabhī sarsabz rahte haiñ
kabhī barfīlī shahrāheñ
kabhī tārīk galiyoñ se
guzarte
dam jo ghuT jaa.e
kabhī sahrā kī taptī ret par
gar pā-piyāda chalnā paḌ jaa.e
kabhī ḳhvāboñ kī bastī se
koī sapnā
haqīqat meñ badal jaa.e
safar hai zindagī kā aur
badalte mausamoñ kā
kabhī tanhā
bahut āzurda
ḳhālī ḳhālī nazroñ se
manāzir taktā jaatā huuñ
kabhī maiñ ḳhud musāfir huuñ
kabhī koī ham-safar merā
ki jis kī ḳhushbuoñ se
mo'attar ho fazā saarī
agar vo muskurā.e
adh-khilī kaliyāñ
bhī khil uTTheñ
safar hai zindagī kā aur badalte mausamoñ kā
kabhī madd-o-jazar aisā
haqīqat meñ badal jaa.e
ki ik tūfān aa jaa.e
lagā de aag gulshan meñ
kisī gumnām raste se
koī chehra mohabbat kā
kalā.ī ko pakaḌ kar
āsmānoñ ke safar par
saath le jaa.e
kabhī aisā bhī ho jaa.e
yuuñ hī chāhat ke sāñche meñ
Dhaleñ do dil
ki dil se ye du'ā nikle
guzar jaa.e
yuuñ hī phir zindagī apnī
yuuñ hī phir shaam ho jaa.e
safar hai zindagī kā aur
badalte mausamoñ kā
safar hai zindagi ka aur
badalte mausamon ka
kabhi sarsabz rahte hain
kabhi barfili shahrahen
kabhi tarik galiyon se
guzarte
dam jo ghuT jae
kabhi sahra ki tapti ret par
gar pa-piyaada chalna paD jae
kabhi KHwabon ki basti se
koi sapna
haqiqat mein badal jae
safar hai zindagi ka aur
badalte mausamon ka
kabhi tanha
bahut aazurda
KHali KHali nazron se
manazir takta jata hun
kabhi main KHud musafir hun
kabhi koi ham-safar mera
ki jis ki KHushbuon se
mo'attar ho faza sari
agar wo muskurae
adh-khili kaliyan
bhi khil uTThen
safar hai zindagi ka aur badalte mausamon ka
kabhi madd-o-jazar aisa
haqiqat mein badal jae
ki ek tufan aa jae
laga de aag gulshan mein
kisi gumnam raste se
koi chehra mohabbat ka
kalai ko pakaD kar
aasmanon ke safar par
sath le jae
kabhi aisa bhi ho jae
yun hi chahat ke sanche mein
Dhalen do dil
ki dil se ye du'a nikle
guzar jae
yun hi phir zindagi apni
yun hi phir sham ho jae
safar hai zindagi ka aur
badalte mausamon ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.