zindagi ke darwaze par
pā-barhana-o-sarāsima sā ik jamm-e-ġhafīr
apne hāthoñ meñ liye mash.al-e-be-sho.ala-o-dūd
muztarib ho ke gharoñdoñ se nikal aayā hai
jaise ab toḌ hī Dālegā ye barsoñ kā jumūd
un papoToñ meñ ye pathrā.ī huī sī āñkheñ
jin meñ fardā kā koī ḳhvāb ujāgar hī nahīñ
kaise DhūñDeñgī dar-zīst kahāñ DhūñDeñgī
un ko vo tishnagī-e-shauq mayassar hī nahīñ
jaise sadiyoñ ke chaTānoñ pe tarāshe hue but
ek dīvāne musavvir kī tabī.at kā ubaal
nāchte nāchte ġhāroñ se nikal aa.e hoñ
aur vāpas inhīñ ġhāroñ meñ ho jaane kā ḳhayāl
zindagī apne darīchoñ meñ hai mushtāq abhī
aur ye raqs-e-tilismāna ke rañgīñ saa.e
us kī nazroñ ko diye jaate haiñ paiham dhoke
jaise bas aañkh jhapakne meñ vo uḌ kar aa.e
shahpar-e-maut kisī ġhūl-e-bayābāñ kī tarah
qahqahe bhartā hai ḳhāmosh fazāoñ meñ sadā
kāñpte kāñpte ik baar simaT jaatī hai
ek tārīk sā parda yūñhī āvezāñ rahā
koī darvāze pe dastak hai na qadmoñ kā nishāñ
chand pur-haul se asrār tah-e-sāya-e-dar
ḳhud hī sargoshiyāñ karte haiñ koī jaise kahe
phir palaT aa.e ye kam-baḳht vahī shām-o-sahar
nāchtā rahtā hai darvāze ke bāhar ye hujūm
apne hāthoñ meñ liye mash.al-e-be-sho.ala-o-dūd
zindagī apne darīchoñ meñ hai mushtāq abhī
kyā ḳhabar toḌ hī de baḌh ke koī qufl-e-jumūd
pa-barhana-o-sarasima sa ek jamm-e-ghafir
apne hathon mein liye mashal-e-be-shoala-o-dud
muztarib ho ke gharondon se nikal aaya hai
jaise ab toD hi Dalega ye barson ka jumud
un papoTon mein ye pathrai hui si aankhen
jin mein farda ka koi KHwab ujagar hi nahin
kaise DhunDengi dar-zist kahan DhunDengi
un ko wo tishnagi-e-shauq mayassar hi nahin
jaise sadiyon ke chaTanon pe tarashe hue but
ek diwane musawwir ki tabiat ka ubaal
nachte nachte ghaaron se nikal aae hon
aur wapas inhin ghaaron mein ho jaane ka KHayal
zindagi apne darichon mein hai mushtaq abhi
aur ye raqs-e-tilismana ke rangin sae
us ki nazron ko diye jate hain paiham dhoke
jaise bas aankh jhapakne mein wo uD kar aae
shahpar-e-maut kisi ghul-e-bayaban ki tarah
qahqahe bharta hai KHamosh fazaon mein sada
kanpte kanpte ek bar simaT jati hai
ek tarik sa parda yunhi aawezan raha
koi darwaze pe dastak hai na qadmon ka nishan
chand pur-haul se asrar tah-e-saya-e-dar
KHud hi sargoshiyan karte hain koi jaise kahe
phir palaT aae ye kam-baKHt wahi sham-o-sahar
nachta rahta hai darwaze ke bahar ye hujum
apne hathon mein liye mashal-e-be-shoala-o-dud
zindagi apne darichon mein hai mushtaq abhi
kya KHabar toD hi de baDh ke koi qufl-e-jumud
- Book : Kulliyat-e-Akhtaruliman (Pg. 85)
- Author : Baidar Bakht
- Publication : Educational Publishing House (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.