zindagi ke liye
dosto shahr-e-ḳhūbāñ se vāpas chalo
fitrat-e-kākul-o-ruḳh ke unvāñ vahī
shām-e-hirmāñ vahī soz-e-pinhāñ vahī
ek hī dāstāñ ek hī guftugū
ek hī aarzū ek hī justujū
dil-navāzī vahī jāñ-gudāzī vahī
sargirānī vahī sarfarāzī vahī
ik taraf chāñdnī muskurātī huī
ik taraf zindagī ḳhaak uḌātī huī
ek hī dā.era ek hī rahguzar
ek mehvar pe ghūme kahāñ tak nazar
ek afsāna ik rāgnī ek lai
zindagī hai ki gardish meñ ik chaak hai
dosto shahr-e-ḳhūbāñ se vāpas chalo
lamhoñ kī sarsarātī huī aañch se
pighle pighle se haiñ ruuh ke aa.ine
dosh par apnī zulfeñ pareshāñ kiye
zindagī aa.ī hai kuchh taqāze liye
zindagī hiir bhī hai zuleḳhā bhī hai
zindagī sohnī bhī hai lailā bhī hai
zindagī sho.ala bhī zindagī laala bhī
zahr kā jaam bhī shahd kā pyāla bhī
zindagī apne jalvoñ kī jhilmil liye
zindagī apnī kirnoñ kā mahmil liye
DhūñDhtī hai kisī qais ke pyaar ko
DhūñDhtī hai kisī dil ke bīmār ko
vaqt kā har taqāzā hai ik be-sutūñ
kitnā sangīn hai khusravī kā fusūñ
zindagī ko bhī ik kohkan chāhiye
zindagī ko bhī ik tesha-zan chāhiye
dosto shahr-e-ḳhūbāñ se vāpas chalo
dosto shahr-e-ḳhūbāñ se vāpas chalo
hiir ke vāste sohnī ke liye
zindagī ke liye aadmī ke liye
dosto shahr-e-KHuban se wapas chalo
fitrat-e-kakul-o-ruKH ke unwan wahi
sham-e-hirman wahi soz-e-pinhan wahi
ek hi dastan ek hi guftugu
ek hi aarzu ek hi justuju
dil-nawazi wahi jaan-gudazi wahi
sargirani wahi sarfaraazi wahi
ek taraf chandni muskuraati hui
ek taraf zindagi KHak uDati hui
ek hi daera ek hi rahguzar
ek mehwar pe ghume kahan tak nazar
ek afsana ek ragni ek lai
zindagi hai ki gardish mein ek chaak hai
dosto shahr-e-KHuban se wapas chalo
lamhon ki sarsaraati hui aanch se
pighle pighle se hain ruh ke aaine
dosh par apni zulfen pareshan kiye
zindagi aai hai kuchh taqaze liye
zindagi hir bhi hai zuleKHa bhi hai
zindagi sohni bhi hai laila bhi hai
zindagi shoala bhi zindagi lala bhi
zahr ka jam bhi shahd ka pyala bhi
zindagi apne jalwon ki jhilmil liye
zindagi apni kirnon ka mahmil liye
DhunDhti hai kisi qais ke pyar ko
DhunDhti hai kisi dil ke bimar ko
waqt ka har taqaza hai ek be-sutun
kitna sangin hai khusrawi ka fusun
zindagi ko bhi ek kohkan chahiye
zindagi ko bhi ek tesha-zan chahiye
dosto shahr-e-KHuban se wapas chalo
dosto shahr-e-KHuban se wapas chalo
hir ke waste sohni ke liye
zindagi ke liye aadmi ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.