zindagi
aur tūfān ke ba.ad
ukhḌe gire peḌoñ bhīge tanoñ
sub.h kī marghalī dhuup meñ sūkhte sabz pattoñ kī bū meñ
maiñ tanhā chalā jā rahā huuñ
mere chāroñ taraf
Tañkī ūñchī chhateñ haiñ patañgoñ kī mānind bikhrī huī
aur lakḌī kī shahtīreñ jaise patañgoñ ke TuuTe hue haath
aur bijlī kī tāreñ ki jaise patañgoñ kī uljhī huī Dor
havā nam hai
aur shahr ke chauk par gidh utar aa.e haiñ
aur ukhḌī jaḌoñ ke kināroñ kī giilī zamīñ par
phaTe bhīge kapḌoñ meñ bachche
gharauñde banāte haiñ billor kī goliyāñ khelte haiñ
aur tufan ke baad
ukhDe gire peDon bhige tanon
subh ki marghali dhup mein sukhte sabz patton ki bu mein
main tanha chala ja raha hun
mere chaaron taraf
Tanki unchi chhaten hain patangon ki manind bikhri hui
aur lakDi ki shahtiren jaise patangon ke TuTe hue hath
aur bijli ki taren ki jaise patangon ki uljhi hui Dor
hawa nam hai
aur shahr ke chauk par gidh utar aae hain
aur ukhDi jaDon ke kinaron ki gili zamin par
phaTe bhige kapDon mein bachche
gharaunde banate hain billor ki goliyan khelte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.