zindagi
zindagī ik manchale gabrū kā ruup
zindagī nau-ḳhez doshīza kā rañg
zindagī ik saath marne kā ḳhayāl
zindagī ik saath jiine kī umañg
zindagī fikr-o-nazar kī raushnī
zindagī zāt-e-ilāhī kā shu.ūr
zindagī ik mutma.in suufī kī ramz
zindagī shab-ḳhez aabid kā surūr
zindagī qurb-e-kanīz-e-ḳhūb-rū
zindagī āhañg-o-āb-e-ātishīñ
zindagī vaqf-e-surūd-o-husn-o-mai
zindagī kā lamha lamha dil-nashīñ
zindagī ehsās kā raushan charāġh
zindagī mahrūmī-e-fikr-o-nazar
zindagī larzāñ ḳhudā ke ḳhauf se
zindagī vaqf-e-gunah shām-o-sahar
zindagī ik nā-ḳhalaf beTe kā baap
zindagī mazdūr kī bīmār maañ
zindagī bichhḌe hue bhaa.ī bahan
zindagī shām-o-sahar āh-o-fuġhāñ
zindagī vīrānī-e-sahrā-e-dil
zindagī muflis kī kuTiyā kā charāġh
zindagī gosha-nashīñ hassās-zehn
zindagī mahrūmiyoñ se daaġh daaġh
zindagī ik gaḌriye kā lok-gīt
zindagī āvāra laḌkoñ kā dimāġh
zindagī mahrūmī-e-masrūfiyat
zindagī ḳhāna-badoshoñ kā farāġh
zindagi ek manchale gabru ka rup
zindagi nau-KHez doshiza ka rang
zindagi ek sath marne ka KHayal
zindagi ek sath jine ki umang
zindagi fikr-o-nazar ki raushni
zindagi zat-e-ilahi ka shuur
zindagi ek mutmain sufi ki ramz
zindagi shab-KHez aabid ka surur
zindagi qurb-e-kaniz-e-KHub-ru
zindagi aahang-o-ab-e-atishin
zindagi waqf-e-surud-o-husn-o-mai
zindagi ka lamha lamha dil-nashin
zindagi ehsas ka raushan charagh
zindagi mahrumi-e-fikr-o-nazar
zindagi larzan KHuda ke KHauf se
zindagi waqf-e-gunah sham-o-sahar
zindagi ek na-KHalaf beTe ka bap
zindagi mazdur ki bimar man
zindagi bichhDe hue bhai bahan
zindagi sham-o-sahar aah-o-fughan
zindagi virani-e-sahra-e-dil
zindagi muflis ki kuTiya ka charagh
zindagi gosha-nashin hassas-zehn
zindagi mahrumiyon se dagh dagh
zindagi ek gaDriye ka lok-git
zindagi aawara laDkon ka dimagh
zindagi mahrumi-e-masrufiyat
zindagi KHana-badoshon ka faragh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.