zindagi
roz-e-azal se ek tamāshe meñ gum the ham
nārāz ho ga.e haiñ ab ik dūsre se ham
be-nām ḳhvāhishoñ kī riyāzat se thak ga.e
ham log terī vaqtī mohabbat se thak ga.e
jo tujh ko jiinā chāhte the jaldī mar ga.e
jo bach ga.e vo terī masāfat se thak ga.e
ab terī samt maiñ kabhī palTūñgā hī nahīñ
gar tū bulā.e bhī to maiñ lauTūñgā hī nahīñ
hujjat tamām ho ga.ī aur aa ga.ī hai shaam
ai zindagī javāñ kā tujhe āḳhirī salām
roz-e-azal se ek tamashe mein gum the hum
naraaz ho gae hain ab ek dusre se hum
be-nam KHwahishon ki riyazat se thak gae
hum log teri waqti mohabbat se thak gae
jo tujh ko jina chahte the jaldi mar gae
jo bach gae wo teri masafat se thak gae
ab teri samt main kabhi palTunga hi nahin
gar tu bulae bhi to main lauTunga hi nahin
hujjat tamam ho gai aur aa gai hai sham
ai zindagi jawan ka tujhe aaKHiri salam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.