zindagi
vahī fazā vahī chehre ḳhamosh nursing-home
maiñ so rahā thā ki khiḌkī ke paas pīpal se
nisā.ī nuqra.ī āvāz haule haule uThī
baḌī adāoñ se mere qarīb aane lagī
sahar qarīb thī sūraj nikalne vaalā thā
maiñ chāhtā thā ki us saut-e-nuqra.ī ko chhu.ūñ
magar vo lauT ga.ī pāyaloñ ke sargam meñ
damak rahā thā sar-e-āsmāñ hasīñ sūraj
ghanere pattoñ meñ chhup kar koī ye kahtā thā
maiñ vo ḳhayāl-e-haqīqat-faroz huuñ jis ko
abhī 'salām' bhī manzūm kar nahīñ paa.e
wahi faza wahi chehre KHamosh nursing-home
main so raha tha ki khiDki ke pas pipal se
nisai nuqrai aawaz haule haule uThi
baDi adaon se mere qarib aane lagi
sahar qarib thi suraj nikalne wala tha
main chahta tha ki us saut-e-nuqrai ko chhuun
magar wo lauT gai payalon ke sargam mein
damak raha tha sar-e-asman hasin suraj
ghanere patton mein chhup kar koi ye kahta tha
main wo KHayal-e-haqiqat-faroz hun jis ko
abhi 'salam' bhi manzum kar nahin pae
- Book : Intikhab-e-Kalam Salam Machhli Shahri (Pg. 12)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.