zindagi se mukalima
zindagī ho ga.ī hai be-tartīb
ab Thikāne pe koī chiiz nahīñ
kuchh yahāñ thā
magar yahāñ kab hai
kuchh vahāñ hai
magar vahāñ kab hai
ab sar-e-jalva-gāh koī nahīñ
jo bhī hai rūnumā gumāñ hī to hai
''honā'' hone kā ik nishāñ hī to hai
shaam meñ ghul gayā hai ḳhvāb kā rañg
dil meñ koī diyā jale na jale
ḳhvāb apne kamāl ko pahuñchā
kisī ta.abīr meñ Dhale na Dhale
aur koī hai is ḳhayāl meñ gum
lauT kar ghar chale chale na chale
jis ke iklaute sard kamre meñ
zard malbūs meñ hai tanhā.ī
rāstoñ ko nigal ga.e saa.e
dard ne chaaT lī hai bīnā.ī
ab kahāñ hai ḳhayāl-e-ra.anā.ī
zindagī ho ga.ī hai be-tartīb
ab Thikāna nahīñ rahā koī
jis jagah ham thakan utaar sakīñ
zindagi ho gai hai be-tartib
ab Thikane pe koi chiz nahin
kuchh yahan tha
magar yahan kab hai
kuchh wahan hai
magar wahan kab hai
ab sar-e-jalwa-gah koi nahin
jo bhi hai runuma guman hi to hai
hona hone ka ek nishan hi to hai
sham mein ghul gaya hai KHwab ka rang
dil mein koi diya jale na jale
KHwab apne kamal ko pahuncha
kisi tabir mein Dhale na Dhale
aur koi hai is KHayal mein gum
lauT kar ghar chale chale na chale
jis ke iklaute sard kamre mein
zard malbus mein hai tanhai
raston ko nigal gae sae
dard ne chaT li hai binai
ab kahan hai KHayal-e-ranai
zindagi ho gai hai be-tartib
ab Thikana nahin raha koi
jis jagah hum thakan utar sakin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.