zindagi siTiyan bajati hai
ye sāñsoñ ke chalne ko kyoñ zindagī kī alāmat kahā hai
ye sāñseñ to muflis kī bhī chal rahī haiñ
ġharībī ke sho.ale nigalnā
aur is saañs kī ḳhasta rassī pe chalnā
agar merī koī karāmat nahīñ hai
to maiñ sāl-hā-sāl se ek kartab kiye jā rahā huuñ
ye sab ek circus hai aur kuchh nahīñ hai
ki jis meñ faqat maiñ ġharībī ke sho.ale nigaltā huā saañs kī ḳhasta rassī pe chaltā huā ik tamāshā banā huuñ
jise dekh kar zindagī sīTiyāñ ab bajāne lagī hai
azal se ye dastūr qaa.em huā hai
ki muflis kī aulād bhī muflisī kāTtī hai
chalo ab ye dastūr hī toḌ Dāleñ
vo yuuñ baḌbaḌāyā
to phir us ne ḳhanjar se apne ġharībī ke iklaute vāris kī sāñsoñ kī rassī ko hī kaaT Daalā
vo ḳhush thā
ki ab us kā laḳht-e-jigar
muflisī kī aziyyat se āzād yuuñ ho gayā hai
ki jaise kisī qaid se koī panchhī
to faaqe ke dhāgoñ meñ uljhe badan kī achānak se āñkhoñ ke parde haTe
aur vo ālam-e-ḳhvāb se jaag uTThā
to us kī nigāhoñ ne apne ġharībī ke iklaute vāris ko dekhā
to rone lagā vo
ki us kī tarah us kī ġhurbat kā vāris ġharībī ke sho.ale nigaltā huā saañs kī ḳhasta rassī pe chalne lagā hai
vo bhī ek circus kā joker banā hai
jise dekh kar zindagī sīTiyāñ phir bajāne lagī hai
ye sanson ke chalne ko kyon zindagi ki alamat kaha hai
ye sansen to muflis ki bhi chal rahi hain
gharibi ke shoale nigalna
aur is sans ki KHasta rassi pe chalna
agar meri koi karamat nahin hai
to main sal-ha-sal se ek kartab kiye ja raha hun
ye sab ek circus hai aur kuchh nahin hai
ki jis mein faqat main gharibi ke shoale nigalta hua sans ki KHasta rassi pe chalta hua ek tamasha bana hun
jise dekh kar zindagi siTiyan ab bajaane lagi hai
azal se ye dastur qaem hua hai
ki muflis ki aulad bhi muflisi kaTti hai
chalo ab ye dastur hi toD Dalen
wo yun baDbaDaya
to phir us ne KHanjar se apne gharibi ke iklaute waris ki sanson ki rassi ko hi kaT Dala
wo KHush tha
ki ab us ka laKHt-e-jigar
muflisi ki aziyyat se aazad yun ho gaya hai
ki jaise kisi qaid se koi panchhi
to faqe ke dhagon mein uljhe badan ki achanak se aankhon ke parde haTe
aur wo aalam-e-KHwab se jag uTTha
to us ki nigahon ne apne gharibi ke iklaute waris ko dekha
to rone laga wo
ki us ki tarah us ki ghurbat ka waris gharibi ke shoale nigalta hua sans ki KHasta rassi pe chalne laga hai
wo bhi ek circus ka joker bana hai
jise dekh kar zindagi siTiyan phir bajaane lagi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.