zindagi to nahin
zindagī to nahīñ tum
magar merī jaañ
zindagī kī tarah ho
Dūbtī shaam sāhil pe
koī parinda uḌe
duur mañjdhār meñ
naav se koī māñjhī lagā.e sadā
sarsarā.e havā
koī pattā hile
koī ġhuncha khile
yaad aatī ho tum
aur aisī hī rut meñ
kabhī man-chalī
narm-o-nāzuk havā
gudgudātī to hogī
tumheñ merī jaañ
aur ik be-adab
sar-phirā naujavāñ
yaad aatā to hogā tumheñ nā-gahāñ
mujh ko ehsās hai
fāsle haiñ bahut
dūriyāñ haiñ baḌī
manzileñ haiñ kaḌī
phir bhī ai jān-e-jāñ
ye to socho zarā
ham akele bhī ik dūsre ke binā
jī to leñge magar
kyā ye jiinā huā
zahr piinā huā
zindagi to nahin tum
magar meri jaan
zindagi ki tarah ho
Dubti sham sahil pe
koi parinda uDe
dur manjdhaar mein
naw se koi manjhi lagae sada
sarsarae hawa
koi patta hile
koi ghuncha khile
yaad aati ho tum
aur aisi hi rut mein
kabhi man-chali
narm-o-nazuk hawa
gudgudati to hogi
tumhein meri jaan
aur ek be-adab
sar-phira naujawan
yaad aata to hoga tumhein na-gahan
mujh ko ehsas hai
fasle hain bahut
duriyan hain baDi
manzilen hain kaDi
phir bhi ai jaan-e-jaan
ye to socho zara
hum akele bhi ek dusre ke bina
ji to lenge magar
kya ye jina hua
zahr pina hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.