zindagi
zindagī azal se saare pāniyoñ ko ubuur kartī huī
phir ek sangam par aa Thahrī hai
qadāmat kī kokh meñ na.ī chiñgāriyāñ sulag rahī haiñ
jaise nayā sūraj chamakne ko hai
laToñ se dariyāoñ ke sote
daur-e-jadīd kā badal nahīñ ho sakte
sochtā huuñ
tum kis zamāne meñ mere vajūd kā hissa the
lekin kisī devtā ne
jaane kyoñ
mere vajūd se tumheñ alāhada kar diyā
maiñ ḳhud ko talāsh kartā rahūñ
justujū
mere ḳhvāboñ ko chhūtī rahī
ik nayā daur aa.egā
jahāñ fāsle nahīñ hoñge
zindagi azal se sare paniyon ko ubur karti hui
phir ek sangam par aa Thahri hai
qadamat ki kokh mein nai chingariyan sulag rahi hain
jaise naya suraj chamakne ko hai
laTon se dariyaon ke sote
daur-e-jadid ka badal nahin ho sakte
sochta hun
tum kis zamane mein mere wajud ka hissa the
lekin kisi dewta ne
jaane kyon
mere wajud se tumhein alahada kar diya
main KHud ko talash karta rahun
justuju
mere KHwabon ko chhuti rahi
ek naya daur aaega
jahan fasle nahin honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.