zindagi
zindagī
dard hai
ik ḳhalish
ik kasak
ranj-o-ālām kī
ek tārīk shab
ek tūfān-e-karb-o-balā
ibtidā
intihā
jehd kā silsila
har-nafas
har qadam
sang-e-hālāt se chuur hai
phir bhī nūr-e-tamannā se māmūr hai
dasht-e-zulmāt meñ
jalva-e-tūr hai
zindagi
dard hai
ek KHalish
ek kasak
ranj-o-alam ki
ek tarik shab
ek tufan-e-karb-o-bala
ibtida
intiha
jehd ka silsila
har-nafas
har qadam
sang-e-haalat se chur hai
phir bhi nur-e-tamanna se mamur hai
dasht-e-zulmat mein
jalwa-e-tur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.