zindagi
zindagī ḳhvāb ik suhānā hai
zindagī dard kā fasāna hai
zindagī ranj-o-ġham kā lamha bhī
zindagī hai nashāt-o-naġhma bhī
zindagī sher-o-naġhmagī kā ḳhumār
zindagī kaif-o-sarḳhushī kī bahār
zindagī naqsh-e-nā-murādī bhī
zindagī raqs bhī hai shādī bhī
zindagī phuul hai kabhī hai ḳhaar
taḳht-e-shāhī hai aur kabhī hai daar
saat rangoñ kā ye nagīna hai
zindagī be-bahā ḳhazīna hai
qadr jo ranj-o-ġham kī jānegā
'shauq' vo zindagī ko mānegā
zindagi KHwab ek suhana hai
zindagi dard ka fasana hai
zindagi ranj-o-gham ka lamha bhi
zindagi hai nashat-o-naghma bhi
zindagi sher-o-naghmagi ka KHumar
zindagi kaif-o-sarKHushi ki bahaar
zindagi naqsh-e-na-muradi bhi
zindagi raqs bhi hai shadi bhi
zindagi phul hai kabhi hai KHar
taKHt-e-shahi hai aur kabhi hai dar
sat rangon ka ye nagina hai
zindagi be-baha KHazina hai
qadr jo ranj-o-gham ki jaanega
'shauq' wo zindagi ko manega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.