zindagi
zindagī kyā hai
maiñ kuchh soch ke ḳhāmosh sā huuñ
log kahte haiñ
anāsir kā zuhūr-e-tartīb
maiñ samajhtā huuñ
ki ik vahm-e-musalsal ke sivā
zindagī kuchh bhī nahīñ
kuchh bhī nahīñ kuchh bhī nahīñ
lekin ajdād kī hikmat se tafāvut tauba
apne afkār kī jiddat mujhe manzūr nahīñ
log kahte haiñ to phir Thiik hī kahte hoñge
zindagi kya hai
main kuchh soch ke KHamosh sa hun
log kahte hain
anasir ka zuhur-e-tartib
main samajhta hun
ki ek wahm-e-musalsal ke siwa
zindagi kuchh bhi nahin
kuchh bhi nahin kuchh bhi nahin
lekin ajdad ki hikmat se tafawut tauba
apne afkar ki jiddat mujhe manzur nahin
log kahte hain to phir Thik hi kahte honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.