zindagi
zindagī rāhat-e-jāñ dard dil-e-zār bhī hai
bāñjh khetī bhī hai aur kisht-e-guhar-bār bhī hai
zindagī ek dhanak
shoḳh rañgoñ se banī
zindagī qarz bhī hai farz bhī hai
zindagī ek sarāb
zindagī jām-e-sharāb
zindagī husn-e-shabāb
zindagī bū-e-gulāb
zindagī kyuuñ ho azaab
jis ne jis rañg meñ dekhā ye banī vaisī hī
shād-nāshād to ābād haiñ barbād yahāñ
faqr ek phuul bhī hai dhuul bhī hai
zindagī gahrā samundar koī
us falak-bos bulandī se pare
log jiite haiñ ki marnā hai unheñ
zehn-o-māhaul kī tārīkī meñ
jis tarah hogā ba-har-taur guzar kar leñge
log jiine se bahut pahle hī mar jaate haiñ
ik tasāhul kā bahāna hai ye andāz un kā
aao ham ziist sajā.eñ apnī
azmat-e-ādam-o-havvā na ghaTā.eñ hargiz
ham vafā-kesh baneñ
ḳhidmat-e-quam-o-vatan apnā salīqa ban jaa.e
husn ke phuul bikhereñ ḳhushbū
pyaar ke nuur se raushan hoñ fazā.eñ saarī
dil meñ nafrat na rahe
dard miT jaa.eñ mile sabr-o-qarār
raushnī paa.e hayāt
raat kī zulmateñ miT jaa.eñ kahīñ kho jaa.eñ
ḳhūgar-e-rañj baneñ vāris-e-aurañg-e-nashāt
sarḳhushī paa.e hayāt
jiinā jab tak hai salīqe se ji.eñ
maut aa.e to qarīne se mareñ
husn-e-tadbīr se gulshan meñ guhar-bārī ho
kaam kuchh aise kareñ
ziist jāved bane
zindagi rahat-e-jaan dard dil-e-zar bhi hai
banjh kheti bhi hai aur kisht-e-guhar-bar bhi hai
zindagi ek dhanak
shoKH rangon se bani
zindagi qarz bhi hai farz bhi hai
zindagi ek sarab
zindagi jam-e-sharab
zindagi husn-e-shabab
zindagi bu-e-gulab
zindagi kyun ho azab
jis ne jis rang mein dekha ye bani waisi hi
shad-nashad to aabaad hain barbaad yahan
faqr ek phul bhi hai dhul bhi hai
zindagi gahra samundar koi
us falak-bos bulandi se pare
log jite hain ki marna hai unhen
zehn-o-mahaul ki tariki mein
jis tarah hoga ba-har-taur guzar kar lenge
log jine se bahut pahle hi mar jate hain
ek tasahul ka bahana hai ye andaz un ka
aao hum zist sajaen apni
azmat-e-adam-o-hawwa na ghaTaen hargiz
hum wafa-kesh banen
KHidmat-e-quam-o-watan apna saliqa ban jae
husn ke phul bikheren KHushbu
pyar ke nur se raushan hon fazaen sari
dil mein nafrat na rahe
dard miT jaen mile sabr-o-qarar
raushni pae hayat
raat ki zulmaten miT jaen kahin kho jaen
KHugar-e-ranj banen waris-e-aurang-e-nashat
sarKHushi pae hayat
jina jab tak hai saliqe se jien
maut aae to qarine se maren
husn-e-tadbir se gulshan mein guhar-bari ho
kaam kuchh aise karen
zist jawed bane
- Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 72)
- Publication : Raghu Nath suhai ummid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.