ziyarat
bahut se log mujh meñ mar chuke haiñ....
kisī kī maut ko vaaq.e hue baara baras biite
kuchh aaise haiñ ki tiis ik saal hone aa.e haiñ ab jin kī rahlat ko
idhar kuchh sānehe taaza bhī haiñ haftoñ mahīnoñ ke
kisī kī hādsātī maut achānak be-zamīrī kā natīja thī
bahut se dab ga.e malbe meñ dīvār-e-anā ke aap hī apnī
mare kuchh rābtoñ kī ḳhushk-sālī meñ
kuchh aaise bhī ki jin ko zinda rakhnā chāhā maiñ ne apnī palkoñ par
magar ḳhud ko jinhoñ ne merī nazroñ se girā kar ḳhud-kushī kar lī
bachā paayā na maiñ kitnoñ ko saarī koshishoñ par bhī
rahe bīmār muddat tak mire bātin ke bistar par
bil-āḳhir faut ho baiThe
gharoñ meñ daftaroñ meñ mahfiloñ meñ rāstoñ par
kitne qabristān qaa.em haiñ
maiñ jin se roz hī ho kar guzartā huuñ
ziyārat chalte-phirte maqbaroñ kī roz kartā huuñ
bahut se log mujh mein mar chuke hain
kisi ki maut ko waqe hue bara baras bite
kuchh aaise hain ki tis ek sal hone aae hain ab jin ki rahlat ko
idhar kuchh sanehe taza bhi hain hafton mahinon ke
kisi ki hadsati maut achanak be-zamiri ka natija thi
bahut se dab gae malbe mein diwar-e-ana ke aap hi apni
mare kuchh rabton ki KHushk-sali mein
kuchh aaise bhi ki jin ko zinda rakhna chaha main ne apni palkon par
magar KHud ko jinhon ne meri nazron se gira kar KHud-kushi kar li
bacha paya na main kitnon ko sari koshishon par bhi
rahe bimar muddat tak mere baatin ke bistar par
bil-aKHir faut ho baiThe
gharon mein daftaron mein mahfilon mein raston par
kitne qabristan qaem hain
main jin se roz hi ho kar guzarta hun
ziyarat chalte-phirte maqbaron ki roz karta hun
- Book : sargoshiyan zamanon ki (Pg. 42)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.