zombie
maiñ ik
zombie ke jaisā huuñ
ba-zāhir
to maiñ
zinda huuñ
magar
andar se murda huuñ
koī ehsās
insānī nahīñ
ab
merī miTTī meñ
na hañstā huuñ
na rotā huuñ
na koī
zaḳhm dukhtā hai
na mujh ko
dard hotā hai
merī sāñseñ to chaltī haiñ
magar
un ko
nahīñ mahsūs kar saktā
mere siine meñ
dil to hai
magar dhaḌkan nadārat hai
maiñ ik
zombie ke
jaisā huuñ
merī jānāñ
merī hālat tumheñ
achchhī tarah ma.alūm hogī nā
ye virus
jism meñ mere
tumhīñ ne hī to Daalā hai
main ek
zombie ke jaisa hun
ba-zahir
to main
zinda hun
magar
andar se murda hun
koi ehsas
insani nahin
ab
meri miTTi mein
na hansta hun
na rota hun
na koi
zaKHm dukhta hai
na mujh ko
dard hota hai
meri sansen to chalti hain
magar
un ko
nahin mahsus kar sakta
mere sine mein
dil to hai
magar dhaDkan nadarat hai
main ek
zombie ke
jaisa hun
meri jaanan
meri haalat tumhein
achchhi tarah malum hogi na
ye wirus
jism mein mere
tumhin ne hi to Dala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.