zulm ka ye raqs ek din TuTna hai
Interesting Fact
افغان عورتوں کے نام ایک خط
ik pukār uTh rahī hai is taraf jo
jo sadā.eñ is shahr ke us taraf se gūñjtī haiñ
shab pasar rahī hai jo ik hausloñ par
ye añdherā kuchh abhī ghanghor hogā
chand rūheñ aur kuchh pāmāl hoñgī
dil abhī to bārhā dil haar degā
yuuñ lagegā is siyāhī kā kahīñ āḳhir nahīñ hai
is ġham-o-andoh kā chāra nahīñ hai
kuchh to ahl-e-‘ilm pe ḳhanjar jahālat ke uTheñge
ḳhvāb pe afkār pe ummīd pe hamla abhī jaarī rahegā
aur salāsil ḳhvāb-e-fardā kā nayā gahnā baneñge
aur bhī kuchh sabz kaliyāñ
surḳh hone kī tavaqqo' hī meñ murjhā jā.eñgī
kar diyā jā.egā ik be-rūh sā iḳhlās ham sab par musallat
phir se kuchh masjūd hoñge chand patthar ke sanam
jin kā na koī ḳhudā na koī devtā hogā
kyoñ magar yārāne-e-man dil hārte ho
kyoñ abhī māyūs hote ho mire ahbāb tum
ye añdherā bhī azal se yaañ nahīñ thā
jis tarah se us ne khā Daalī hai ek ek nuur kī partav
is tarah hī us kā bhī ek ant lāziman hogā
dekh lenā ek din ye bhī fanā ho jā.egā
TuuT jā.eñge salāsil aur fazā maiñ qahqahe gūñjeñge phir se
phir hayāt sar uThā.egī ye tum ḳhud dekh lenā
zulm kā ye raqs ek din TūTnā hai
ek pukar uTh rahi hai is taraf jo
jo sadaen is shahr ke us taraf se gunjti hain
shab pasar rahi hai jo ek hauslon par
ye andhera kuchh abhi ghanghor hoga
chand ruhen aur kuchh pamal hongi
dil abhi to barha dil haar dega
yun lagega is siyahi ka kahin aaKHir nahin hai
is gham-o-andoh ka chaara nahin hai
kuchh to ahl-e-‘ilm pe KHanjar jahaalat ke uThenge
KHwab pe afkar pe ummid pe hamla abhi jari rahega
aur salasil KHwab-e-farda ka naya gahna banenge
aur bhi kuchh sabz kaliyan
surKH hone ki tawaqqo' hi mein murjha jaengi
kar diya jaega ek be-ruh sa iKHlas hum sab par musallat
phir se kuchh masjud honge chand patthar ke sanam
jin ka na koi KHuda na koi dewta hoga
kyon magar yarane-e-man dil haarte ho
kyon abhi mayus hote ho mere ahbab tum
ye andhera bhi azal se yan nahin tha
jis tarah se us ne kha Dali hai ek ek nur ki partaw
is tarah hi us ka bhi ek ant laziman hoga
dekh lena ek din ye bhi fana ho jaega
TuT jaenge salasil aur faza main qahqahe gunjenge phir se
phir hayat sar uThaegi ye tum KHud dekh lena
zulm ka ye raqs ek din TuTna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.