zulmat
jis tarah
kisī muflis kī
taqdīr kā sitāra
bahut duur kahīñ
tārīk rāhoñ meñ
bhaTak kar
dam toḌ rahā ho
shaam hote hī
us dayār kā chappa chappa
ghup añdheroñ meñ
Duub jaatā hai
aise meñ
samā.at se sargoshiyāñ
karte hue sannāTe
añdheroñ ko koste hue lamhāt
duur se aatī huī kisī be-bas kī
pukār
jab ehsās se Takrātī hai
to thartharāte hue
vajūd
mahv-e-duā hote haiñ
ḳhāliq ko sadā dete hai
jis tarah
kisi muflis ki
taqdir ka sitara
bahut dur kahin
tarik rahon mein
bhaTak kar
dam toD raha ho
sham hote hi
us dayar ka chappa chappa
ghup andheron mein
Dub jata hai
aise mein
samaat se sargoshiyan
karte hue sannaTe
andheron ko koste hue lamhat
dur se aati hui kisi be-bas ki
pukar
jab ehsas se Takraati hai
to thartharaate hue
wajud
mahw-e-dua hote hain
KHaliq ko sada dete hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.