zyaada
mirī mashq-e-suḳhan kā jab huā un par asar zyāda
meherbānī hai un kī mujh pe kam aur hai qahr zyāda
vo vaise bhī rahā kartī haiñ apnī maañ ke ghar zyāda
vahāñ rah kar bhī vo rahtī haiñ mujh se bā-ḳhabar zyāda
vo chāhe khel chausar kā ho yā shatranj kī baazī
hamesha chaal vo chaltī haiñ apnī ek ghar zyāda
vo koshish to bahut kartā hai lekin uḌ nahīñ saktā
parinde ke nikal aa.e haiñ shāyad bāl-o-par zyāda
maraz shauq-e-masīhā.ī kā phailā hai vabā ban kar
marīzoñ se kahīñ ab ho ga.e haiñ chārāgar zyāda
ḳhudā mahfūz hī rakkhe hameñ in ḳhud-parastoñ se
jo ḳhud ko jānte kam haiñ samajhte haiñ magar zyāda
ġhalat-fahmī hai un kī 'ḳhvāh-maḳhvāh' yā merī ḳhush-fahmī
samajhte haiñ mujhe sab shā.iroñ meñ mo'atabar zyāda
meri mashq-e-suKHan ka jab hua un par asar zyaada
meherbani hai un ki mujh pe kam aur hai qahr zyaada
wo waise bhi raha karti hain apni man ke ghar zyaada
wahan rah kar bhi wo rahti hain mujh se ba-KHabar zyaada
wo chahe khel chausar ka ho ya shatranj ki bazi
hamesha chaal wo chalti hain apni ek ghar zyaada
wo koshish to bahut karta hai lekin uD nahin sakta
parinde ke nikal aae hain shayad baal-o-par zyaada
maraz shauq-e-masihai ka phaila hai waba ban kar
marizon se kahin ab ho gae hain chaaragar zyaada
KHuda mahfuz hi rakkhe hamein in KHud-paraston se
jo KHud ko jaante kam hain samajhte hain magar zyaada
ghalat-fahmi hai un ki 'KHwah-maKHwah' ya meri KHush-fahmi
samajhte hain mujhe sab shairon mein mo'atabar zyaada
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.