mohammad ali jauhar
pyāre bachcho batāo us kā naam
jānte sab haiñ jis ko ḳhās-o-ām
vo jo ik mo'atabar siyāsī thā
vo jo ik nāmvar sahāfī thā
vo jo urdu kā ek shā.ir thā
fan-e-taqrīr meñ bhī māhir thā
jo mujāhid thā aur aalim bhī
saare aalam meñ jis kī izzat thī
jis ko hamdard comrade milā
paa.ī jis ke qalam ne ḳhuub jilā
jis kī tahrīr thī ḳhilāfat kī
mulk-o-millat kī jis ne ḳhidmat kī
jo muhibb-e-vatan siyāsī thā
aur jo rāmpur kā baasī thā
pyare bachcho batao us ka nam
jaante sab hain jis ko KHas-o-am
wo jo ek mo'atabar siyasi tha
wo jo ek namwar sahafi tha
wo jo urdu ka ek shair tha
fan-e-taqrir mein bhi mahir tha
jo mujahid tha aur aalim bhi
sare aalam mein jis ki izzat thi
jis ko hamdard comrade mila
pai jis ke qalam ne KHub jila
jis ki tahrir thi KHilafat ki
mulk-o-millat ki jis ne KHidmat ki
jo muhibb-e-watan siyasi tha
aur jo rampur ka basi tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.