qulfi
bahut mīThī huuñ maiñ bahut ḳhuub huuñ maiñ
har ik bachche bachchī ko marġhūb huuñ maiñ
safedī mirī duudh se bhī ziyāda
hai oḌhā huā barf jaisā labāda
mulā.em huuñ kho.e kī mānind bachcho
zarā mujh ko muñh se lagā kar to dekho
ka.ī rañgoñ meñ aur ka.ī ḳhushbuoñ meñ
maiñ miltī huuñ har tarah kī mahfiloñ meñ
zarā mujh ko pahchān kar to batānā
maiñ kyā huuñ kahāñ par hai merā Thikānā
bahut miThi hun main bahut KHub hun main
har ek bachche bachchi ko marghub hun main
safedi meri dudh se bhi ziyaada
hai oDha hua barf jaisa labaada
mulaem hun khoe ki manind bachcho
zara mujh ko munh se laga kar to dekho
kai rangon mein aur kai KHushbuon mein
main milti hun har tarah ki mahfilon mein
zara mujh ko pahchan kar to batana
main kya hun kahan par hai mera Thikana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.