Sher of Aalok Shrivastav
ye sochnā ġhalat hai ki tum par nazar nahīñ
masrūf ham bahut haiñ magar be-ḳhabar nahīñ
ye sochna ghalat hai ki tum par nazar nahin
masruf hum bahut hain magar be-KHabar nahin
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aa hī ga.e haiñ ḳhvāb to phir jā.eñge kahāñ
ā.ankhoñ se aage un kī koī rahguzar nahīñ
aa hi gae hain KHwab to phir jaenge kahan
aaankhon se aage un ki koi rahguzar nahin
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
yahī to ek tamannā hai is musāfir kī
jo tum nahīñ to safar meñ tumhārā pyaar chale
yahi to ek tamanna hai is musafir ki
jo tum nahin to safar mein tumhaara pyar chale
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
baat karo to lafzoñ se bhī ḳhushbū aatī hai
lagtā hai us laḌkī ko bhī urdu aatī hai
baat karo to lafzon se bhi KHushbu aati hai
lagta hai us laDki ko bhi urdu aati hai