Aasim Shahnawaz Shibli
Ghazal 3
Sher-o-Shayari 1
barq bārāñ tīrgī aur zalzala
badlā badlā sā hai mausam kā mizāj
barq baran tirgi aur zalzala
badla badla sa hai mausam ka mizaj
- Add to favorites
-
Share this
Doha 4
ghar ghar jā kar jo sune logoñ kī fariyād
us ko apne ghar meñ hī mile na koī daad
ghar ghar ja kar jo sune logon ki fariyaad
us ko apne ghar mein hi mile na koi dad
- Add to favorites
-
Share this
sahme sahme qāfile patthar-dil haiñ log
ham haiñ un ke biich ab ye to ik sanjog
sahme sahme qafile patthar-dil hain log
hum hain un ke bich ab ye to ek sanjog
- Add to favorites
-
Share this
yaad aatā hai rah rah ke chhoTā sā vo gaañv
bargad pīpal kī vahī pyārī pyārī chhāñv
yaad aata hai rah rah ke chhoTa sa wo ganw
bargad pipal ki wahi pyari pyari chhanw
- Add to favorites
-
Share this
kaise nikhre shā.erī aur tarz-e-iz.hār
is meñ hotā hai miyāñ ḳhūn-e-dil darkār
kaise nikhre shaeri aur tarz-e-izhaar
is mein hota hai miyan KHun-e-dil darkar
- Add to favorites
-
Share this