Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Abdul Mateen Niyaz's Photo'

Abdul Mateen Niyaz

1929 | Bhopal, India

A major poet to emerge in the 60s; known for his poetry of higher consciousness and intense emotional nature

A major poet to emerge in the 60s; known for his poetry of higher consciousness and intense emotional nature

Abdul Mateen Niyaz

Ghazal 25

Nazm 10

Sher-o-Shayari 10

logoñ ko apnī fikr hai lekin mujhe nadīm

bazm-e-hayāt-o-nazm-e-gulistāñ fikr hai

logon ko apni fikr hai lekin mujhe nadim

bazm-e-hayat-o-nazm-e-gulistan ki fikr hai

dil ne har daur meñ duniyā se baġhāvat hai

dil se tum rasm-o-rivāyāt bāteñ na karo

dil ne har daur mein duniya se baghawat ki hai

dil se tum rasm-o-riwayat ki baaten na karo

vaqt mohlat na degā phir tum ko

tiir jis dam kamān se niklā

waqt mohlat na dega phir tum ko

tir jis dam kaman se nikla

ham-nafas ḳhvāb-e-junūñ koī ta.abīr na dekh

raqs karnā hai to phir paañv zanjīr na dekh

ham-nafas KHwab-e-junun ki koi tabir na dekh

raqs karna hai to phir panw ki zanjir na dekh

alfāz madah-ḳhvāñ the qalam the bike hue

kaise tarāsh lete koī shāh-kār ham

alfaz madah-KHwan the qalam the bike hue

kaise tarash lete koi shah-kar hum

BOOKS 9

 

More Poets From "Bhopal"

Recitation

Speak Now