Abdul Qadir
Ghazal 7
Nazm 6
BOOKS 11
Image Shayari 1
aataa hai yaad mujh ko bachpan kaa vo zamaana rahtaa thaa saath mere KHushiyo.n kaa jab KHazaana har roz ghar me.n milte umda laziiz khaane be-mehnat-o-mashaqqat haasil thaa aab-o-daana bachcho.n ke saath rahnaa KHushiyo.n ke giit gaanaa dil me.n na thii kuduurat thaa sab se dostaana meh.ndii ke patte laanaa aur piis kar lagaanaa phir surKH haath apne har ek ko dikhaanaa aavaaz DugDugii kii juu.n hii sunaa.ii detii us kii taraf lapaknaa bachcho.n kaa vaalihaana har saal pyaare abbuu laate the ek bakraa chaara use khilaanaa maidaan me.n ghumaanaa vo duur jaa chukaa hai aataa nahii.n palaT kar bachpan kaa vo zamaana lagtaa hai ik fasaana daadii ko mai.n ne ik din ye mashvara diyaa thaa chehre kii jhurriyo.n ko aasaan hai miTaanaa chehre pe aap ke hai.n jo be-shumaar shikne.n aayaa mirii samajh me.n un se najaat paanaa kap.De kii saarii shikne.n miTtii hai.n istirii se aasaan saa amal hai ye istirii chalaanaa ik garm istirii ko chehre pe aap phere.n umda hai meraa nusKHa hai shart aazmaanaa ik roz vaalida se jaa kar kahaa kitchen me.n ab chho.Diyegaa ammii ye roTiyaa.n pakaanaa ik pe.D roTiyo.n kaa daalaan me.n lagaa.e.n us pe.D ko kahe.nge roTii kaa kaarKHaana shaaKHo.n se taaza taaza phir roTiyaa.n mile.ngii to.De.nge roTiyaa.n ham khaa.e.nge ghar me.n khaanaa kaisii ajiib baate.n aatii thii.n mere lab par aaj un ko kah rahaa huu.n baate.n hai.n ahmaqaana vo pyaarii pyaarii baate.n ab yaad aa rahii hai.n bachpan kaa vo zamaana kyaa KHvaab thaa suhaanaa