aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
A prominent romantic poet of his times; well-received by a larger number of readers
idhar aao maiñ dil kī baat kah duuñ
ki tum se to koī parda nahīñ hai
idhar aao main dil ki baat kah dun
ki tum se to koi parda nahin hai
sūjhtī haiñ saiñkaḌoñ bāteñ mujhe
haath se mauqa nikal jaane ke baa'd
sujhti hain sainkaDon baaten mujhe
hath se mauqa nikal jaane ke ba'd
laakh duniyā ḳhilāf ho jaa.e
aap kā dil to saaf ho jaa.e
lakh duniya KHilaf ho jae
aap ka dil to saf ho jae
hamesha ke liye vo jā chuke haiñ
ḳhayāl un kā magar jaatā nahīñ hai
hamesha ke liye wo ja chuke hain
KHayal un ka magar jata nahin hai
mohabbat maiñ bhī kartā huuñ mohabbat tum bhī karte ho
magar donoñ meñ muñh-dekhī mohabbat kaun kartā hai
mohabbat main bhi karta hun mohabbat tum bhi karte ho
magar donon mein munh-dekhi mohabbat kaun karta hai
Jai Ho Jai Ho Indira Gandhi Ki Jai
Piyaar Ki Baatain
Pyar Ki Batein
Tumhen Pyar Karne Ko Ji chahta Hai
1972
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books