aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
1938 | Karachi, Pakistan
zaḳhm itne haiñ badan par ki kahīñ dard nahīñ
ham bhī pathrāv meñ patthar ke hue jaate haiñ
zaKHm itne hain badan par ki kahin dard nahin
hum bhi pathraw mein patthar ke hue jate hain
ye kyā kam hai amāma bāñdh kar nikle nahīñ ham
ab is se bhī sivā īmān-dārī kaun kartā
ye kya kam hai amama bandh kar nikle nahin hum
ab is se bhi siwa iman-dari kaun karta
kab se maiñ safar meñ huuñ magar ye nahīñ ma.alūm
aane meñ lagā huuñ ki maiñ jaane meñ lagā huuñ
kab se main safar mein hun magar ye nahin malum
aane mein laga hun ki main jaane mein laga hun
suntā hai yahāñ kaun samajhtā hai yahāñ kaun
ye shaġhl-e-suḳhan vaqt-guzārī ke liye hai
sunta hai yahan kaun samajhta hai yahan kaun
ye shaghl-e-suKHan waqt-guzari ke liye hai
the yahāñ saare amal radd-e-amal ke muhtāj
zindagī bhī hameñ darkār thī marne ke liye
the yahan sare amal radd-e-amal ke muhtaj
zindagi bhi hamein darkar thi marne ke liye
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books