duniyā ne jo zaḳhm diye the bhar diye terī yādoñ ne
yādoñ ne jo zaḳhm lagā.e vo baḌh kar nāsūr hue
duniya ne jo zaKHm diye the bhar diye teri yaadon ne
yaadon ne jo zaKHm lagae wo baDh kar nasur hue
Share this
sham.a kī tarah se jalnā siikh auroñ ke liye
gar tamannā dil meñ hai to raunaq-e-mahfil bane
shama ki tarah se jalna sikh auron ke liye
gar tamanna dil mein hai to raunaq-e-mahfil bane
Share this
ye gutthī kab se maiñ suljhā rahā huuñ
jahāñ se maiñ huuñ yā mujh se jahāñ hai
ye gutthi kab se main suljha raha hun
jahan se main hun ya mujh se jahan hai
Share this
Recitation
join rekhta family!
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.