Akhtar Husain Jafri
Ghazal 4
Nazm 21
Sher-o-Shayari 4
dil jahāñ baat kare dil hī jahāñ baat sune
kār-e-dushvār hai us tarz meñ kahnā achchhā
dil jahan baat kare dil hi jahan baat sune
kar-e-dushwar hai us tarz mein kahna achchha
-
Share this
- See Ghazal
tapish gulzār tak pahuñchī lahū dīvār tak aayā
charāġh-e-ḳhud-kalāmī kā dhuāñ bāzār tak aayā
tapish gulzar tak pahunchi lahu diwar tak aaya
charagh-e-KHud-kalami ka dhuan bazar tak aaya
-
Share this
- See Ghazal
shāḳh-e-tanhā.ī se phir niklī bahār-e-fasl-e-zāt
apnī sūrat par hue ham phir bahāl us ke liye
shaKH-e-tanhai se phir nikli bahaar-e-fasl-e-zat
apni surat par hue hum phir bahaal us ke liye
-
Share this
- See Ghazal
koī tashbīh kā ḳhurshīd na talmīh kā chāñd
sar-e-qirtās lagā harf-e-barhana achchhā
koi tashbih ka KHurshid na talmih ka chand
sar-e-qirtas laga harf-e-barhana achchha
-
Share this
- See Ghazal
Videos 4
This video is playing from YouTube